hairaton ke silsile soz-e-nihaan tak aa gaye | हैरतों के सिलसिले सोज़-ए-निहाँ तक आ गए

  - Qabil Ajmeri

hairaton ke silsile soz-e-nihaan tak aa gaye
ham nazar tak chahte the tum to jaan tak aa gaye

na-muraadi apni qismat gumrahi apna naseeb
kaarwaan ki khair ho ham kaarwaan tak aa gaye

un ki palkon par sitaare apne honton pe hasi
qissa-e-gham kahte kahte ham kahaan tak aa gaye

zulf mein khushboo na thi ya rang aariz mein na tha
aap kis ki aarzoo mein gulsitaan tak aa gaye

rafta rafta rang laaya jazba-e-khaamoshi-e-ishq
vo taghaaful karte karte imtihaan tak aa gaye

khud tumhein chaak-e-garebaan ka shu'ur aa jaayega
tum wahan tak aa to jaao ham jahaan tak aa gaye

aaj qaabil may-kade mein inqilaab aane ko hai
ahl-e-dil andesha-e-sood-o-ziyaan tak aa gaye

हैरतों के सिलसिले सोज़-ए-निहाँ तक आ गए
हम नज़र तक चाहते थे तुम तो जाँ तक आ गए

ना-मुरादी अपनी क़िस्मत गुमरही अपना नसीब
कारवाँ की ख़ैर हो हम कारवाँ तक आ गए

उन की पलकों पर सितारे अपने होंटों पे हँसी
क़िस्सा-ए-ग़म कहते कहते हम कहाँ तक आ गए

ज़ुल्फ़ में ख़ुशबू न थी या रंग आरिज़ में न था
आप किस की आरज़ू में गुल्सिताँ तक आ गए

रफ़्ता रफ़्ता रंग लाया जज़्बा-ए-ख़ामोश-ए-इश्क़
वो तग़ाफ़ुल करते करते इम्तिहाँ तक आ गए

ख़ुद तुम्हें चाक-ए-गरेबाँ का शुऊ'र आ जाएगा
तुम वहाँ तक आ तो जाओ हम जहाँ तक आ गए

आज 'क़ाबिल' मय-कदे में इंक़लाब आने को है
अहल-ए-दिल अंदेशा-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ तक आ गए

  - Qabil Ajmeri

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qabil Ajmeri

As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri

Similar Writers

our suggestion based on Qabil Ajmeri

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari