tazaad-e-jazbaat mein ye naazuk maqaam aaya to kya karoge | तज़ाद-ए-जज़्बात में ये नाज़ुक मक़ाम आया तो क्या करोगे - Qabil Ajmeri

tazaad-e-jazbaat mein ye naazuk maqaam aaya to kya karoge
main ro raha hoon tum hans rahe ho main muskuraya to kya karoge

mujhe to is darja waqt-e-rukhsat sukoon ki talkin kar rahe ho
magar kuch apne liye bhi socha main yaad aaya to kya karoge

abhi to tanqeed ho rahi hai mere mazaq-e-junoon pe lekin
tumhaari zulfon ki barhmi ka sawaal aaya to kya karoge

tumhaare jalvo ki raushni mein nazar ki hairaaniyaan musallam
magar kisi ne nazar ke badle jo dil aazmaaya to kya karoge

utar to sakte ho yaar lekin maal par bhi nigaah kar lo
khuda-na-karda sukoon-e-saahil na raas aaya to kya karoge

kuch apne dil par bhi zakham khao mere lahu ki bahaar kab tak
mujhe sahaara banaane waalo main ladkhadaaya to kya karoge

abhi to daaman chhuda rahe ho bigad ke qaabil se ja rahe ho
magar kabhi dil ki dhadkano mein shareek paaya to kya karoge

तज़ाद-ए-जज़्बात में ये नाज़ुक मक़ाम आया तो क्या करोगे
मैं रो रहा हूँ तुम हँस रहे हो मैं मुस्कुराया तो क्या करोगे

मुझे तो इस दर्जा वक़्त-ए-रुख़्सत सुकूँ की तल्क़ीन कर रहे हो
मगर कुछ अपने लिए भी सोचा मैं याद आया तो क्या करोगे

अभी तो तन्क़ीद हो रही है मिरे मज़ाक़-ए-जुनूँ पे लेकिन
तुम्हारी ज़ुल्फ़ों की बरहमी का सवाल आया तो क्या करोगे

तुम्हारे जल्वों की रौशनी में नज़र की हैरानियाँ मुसल्लम
मगर किसी ने नज़र के बदले जो दिल आज़माया तो क्या करोगे

उतर तो सकते हो यार लेकिन मआल पर भी निगाह कर लो
ख़ुदा-ना-कर्दा सुकून-ए-साहिल न रास आया तो क्या करोगे

कुछ अपने दिल पर भी ज़ख़्म खाओ मिरे लहू की बहार कब तक
मुझे सहारा बनाने वालो मैं लड़खड़ाया तो क्या करोगे

अभी तो दामन छुड़ा रहे हो बिगड़ के 'क़ाबिल' से जा रहे हो
मगर कभी दिल की धड़कनों में शरीक पाया तो क्या करोगे

- Qabil Ajmeri
0 Likes

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qabil Ajmeri

As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri

Similar Writers

our suggestion based on Qabil Ajmeri

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari