tum na maano magar haqeeqat hai
ishq insaan ki zaroorat hai
jee raha hoon is e'timaad ke saath
zindagi ko meri zaroorat hai
husn hi husn jalwe hi jalwe
sirf ehsaas ki zaroorat hai
us ke vaade pe naaz the kya kya
ab dar-o-baam se nadaamat hai
us ki mehfil mein baith kar dekho
zindagi kitni khoob-soorat hai
raasta kat hi jaayega qaabil
shauq-e-manzil agar salaamat hai
तुम न मानो मगर हक़ीक़त है
इश्क़ इंसान की ज़रूरत है
जी रहा हूँ इस ए'तिमाद के साथ
ज़िंदगी को मिरी ज़रूरत है
हुस्न ही हुस्न जल्वे ही जल्वे
सिर्फ़ एहसास की ज़रूरत है
उस के वादे पे नाज़ थे क्या क्या
अब दर-ओ-बाम से नदामत है
उस की महफ़िल में बैठ कर देखो
ज़िंदगी कितनी ख़ूब-सूरत है
रास्ता कट ही जाएगा 'क़ाबिल'
शौक़-ए-मंज़िल अगर सलामत है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri
our suggestion based on Qabil Ajmeri
As you were reading Adaa Shayari Shayari