vo har maqaam se pehle vo har maqaam ke baad | वो हर मक़ाम से पहले वो हर मक़ाम के बाद

  - Qabil Ajmeri

vo har maqaam se pehle vo har maqaam ke baad
sehar thi shaam se pehle sehar hai shaam ke baad

har inqilaab mubarak har inqilaab azaab
shikast-e-jaam se pehle shikast-e-jaam ke baad

mujhi pe itni tavajjoh mujhi se itna gurez
mere salaam se pehle mere salaam ke baad

charaagh-e-bazm-e-sitam hain hamaara haal na pooch
jale the shaam se pehle bujhe hain shaam ke baad

ye raat kuchh bhi nahin thi ye raat sab kuchh hai
tuloo-e-jaam se pehle tuloo-e-jaam ke baad

wahi zabaan wahi baatein magar hai kitna farq
tumhaare naam se pehle tumhaare naam ke baad

hayaat giryaa-e-shabnam hayaat raqs-e-sharar
tire payaam se pehle tire payaam ke baad

ye tarz-e-fikr ye rang-e-sukhan kahaan qaabil
tire kalaam se pehle tire kalaam ke baad

वो हर मक़ाम से पहले वो हर मक़ाम के बाद
सहर थी शाम से पहले सहर है शाम के बाद

हर इंक़िलाब मुबारक हर इंक़िलाब अज़ाब
शिकस्त-ए-जाम से पहले शिकस्त-ए-जाम के बाद

मुझी पे इतनी तवज्जोह मुझी से इतना गुरेज़
मिरे सलाम से पहले मिरे सलाम के बाद

चराग़-ए-बज़्म-ए-सितम हैं हमारा हाल न पूछ
जले थे शाम से पहले बुझे हैं शाम के बाद

ये रात कुछ भी नहीं थी ये रात सब कुछ है
तुलू-ए-जाम से पहले तुलू-ए-जाम के बाद

वही ज़बाँ वही बातें मगर है कितना फ़र्क़
तुम्हारे नाम से पहले तुम्हारे नाम के बाद

हयात गिर्या-ए-शबनम हयात रक़्स-ए-शरर
तिरे पयाम से पहले तिरे पयाम के बाद

ये तर्ज़-ए-फ़िक्र ये रंग-ए-सुख़न कहाँ 'क़ाबिल'
तिरे कलाम से पहले तिरे कलाम के बाद

  - Qabil Ajmeri

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qabil Ajmeri

As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri

Similar Writers

our suggestion based on Qabil Ajmeri

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari