muddaton hum ne gham sambhaale hain | मुद्दतों हम ने ग़म सँभाले हैं - Qabil Ajmeri

muddaton hum ne gham sambhaale hain
ab tiri yaad ke hawaale hain

zindagi ke haseen chehre par
gham ne kitne hijaab dale hain

kuch gham-e-zeest ka shikaar hue
kuch maseeha ne maar dale hain

rah-guzaar-e-hayaat mein hum ne
khud naye raaste nikale hain

ai shab-e-gham zara sanbhaal ke rakh
hum tiri subh ke ujaale hain

zauq-e-khud-aagahi ne ai qaabil
kitne but-khaane tod dale hain

मुद्दतों हम ने ग़म सँभाले हैं
अब तिरी याद के हवाले हैं

ज़िंदगी के हसीन चेहरे पर
ग़म ने कितने हिजाब डाले हैं

कुछ ग़म-ए-ज़ीस्त का शिकार हुए
कुछ मसीहा ने मार डाले हैं

रह-गुज़ार-ए-हयात में हम ने
ख़ुद नए रास्ते निकाले हैं

ऐ शब-ए-ग़म ज़रा सँभाल के रख
हम तिरी सुब्ह के उजाले हैं

ज़ौक़-ए-ख़ुद-आगही ने ऐ 'क़ाबिल'
कितने बुत-ख़ाने तोड़ डाले हैं

- Qabil Ajmeri
0 Likes

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qabil Ajmeri

As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri

Similar Writers

our suggestion based on Qabil Ajmeri

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari