ab ye aalam hai ki gham ki bhi khabar hoti nahin | अब ये आलम है कि ग़म की भी ख़बर होती नहीं

  - Qabil Ajmeri

ab ye aalam hai ki gham ki bhi khabar hoti nahin
ashk bah jaate hain lekin aankh tar hoti nahin

phir koi kam-bakht kashti nazar-e-toofaan ho gai
warna saahil par udaasi is qadar hoti nahin

tera andaaz-e-taghaful hai junoon mein aaj kal
chaak kar leta hoon daaman aur khabar hoti nahin

haaye kis aalam mein chhodaa hai tumhaare gham ne saath
jab qaza bhi zindagi ki chaara-gar hoti nahin

rang-e-mahfil chahta hai ik mukammal inqilaab
chand shamon ke bharkane se sehar hoti nahin

iztiraab-e-dil se qaabil vo nigah-e-be-niyaaz
be-khabar maaloom hoti hai magar hoti nahin

अब ये आलम है कि ग़म की भी ख़बर होती नहीं
अश्क बह जाते हैं लेकिन आँख तर होती नहीं

फिर कोई कम-बख़्त कश्ती नज़र-ए-तूफ़ाँ हो गई
वर्ना साहिल पर उदासी इस क़दर होती नहीं

तेरा अंदाज़-ए-तग़ाफ़ुल है जुनूँ में आज कल
चाक कर लेता हूँ दामन और ख़बर होती नहीं

हाए किस आलम में छोड़ा है तुम्हारे ग़म ने साथ
जब क़ज़ा भी ज़िंदगी की चारा-गर होती नहीं

रंग-ए-महफ़िल चाहता है इक मुकम्मल इंक़लाब
चंद शम्ओं के भड़कने से सहर होती नहीं

इज़्तिराब-ए-दिल से 'क़ाबिल' वो निगाह-ए-बे-नियाज़
बे-ख़बर मालूम होती है मगर होती नहीं

  - Qabil Ajmeri

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qabil Ajmeri

As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri

Similar Writers

our suggestion based on Qabil Ajmeri

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari