tumhein jo mere gham-e-dil se aagahi ho jaaye | तुम्हें जो मेरे ग़म-ए-दिल से आगही हो जाए

  - Qabil Ajmeri

tumhein jo mere gham-e-dil se aagahi ho jaaye
jigar mein phool khilen aankh shabnami ho jaaye

ajal bhi us ki bulandi ko choo nahin sakti
vo zindagi jise ehsaas-e-zindagi ho jaaye

yahi hai dil ki halaakat yahi hai ishq ki maut
nigaah-e-dost pe izhaar-e-bekasi ho jaaye

zamaana dost hai kis kis ko yaad rakhhoge
khuda kare ki tumhein mujh se dushmani ho jaaye

siyaah-khaana-e-dil mein hai zulmato_n ka hujoom
charaagh-e-shauq jalao ki raushni ho jaaye

tuloo-e-subh pe hoti hai aur bhi namnaak
vo aankh jis ki sitaaron se dosti ho jaaye

ajal ki god mein qaabil hui hai umr tamaam
ajab nahin jo meri maut zindagi ho jaaye

तुम्हें जो मेरे ग़म-ए-दिल से आगही हो जाए
जिगर में फूल खिलें आँख शबनमी हो जाए

अजल भी उस की बुलंदी को छू नहीं सकती
वो ज़िंदगी जिसे एहसास-ए-ज़िंदगी हो जाए

यही है दिल की हलाकत यही है इश्क़ की मौत
निगाह-ए-दोस्त पे इज़हार-ए-बेकसी हो जाए

ज़माना दोस्त है किस किस को याद रक्खोगे
ख़ुदा करे कि तुम्हें मुझ से दुश्मनी हो जाए

सियाह-ख़ाना-ए-दिल में है ज़ुल्मतों का हुजूम
चराग़-ए-शौक़ जलाओ कि रौशनी हो जाए

तुलू-ए-सुब्ह पे होती है और भी नमनाक
वो आँख जिस की सितारों से दोस्ती हो जाए

अजल की गोद में 'क़ाबिल' हुई है उम्र तमाम
अजब नहीं जो मिरी मौत ज़िंदगी हो जाए

  - Qabil Ajmeri

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qabil Ajmeri

As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri

Similar Writers

our suggestion based on Qabil Ajmeri

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari