kaaghaz kaaghaz dhool udegi fan banjar ho jaayega | काग़ज़ काग़ज़ धूल उड़ेगी फ़न बंजर हो जाएगा

  - Qaisar-ul-Jafri

kaaghaz kaaghaz dhool udegi fan banjar ho jaayega
jis din sukhe dil ke aansu sab patthar ho jaayega

tootengi jab neend se palkein so jaaunga chupke se
jis jungle mein raat padegi mera ghar ho jaayega

khwaabon ke ye panchi kab tak shor karenge palkon par
shaam dhalegi aur sannaata shaakhon par ho jaayega

raat qalam le kar aayegi itni siyaahi chhidkegi
din ka saara manzar-naama be-manzar ho jaayega

nakhun se bhi eent kureden mil-jul kar ham-saaye to
aangan ki deewaar na toote lekin dar ho jaayega

qaisar ro lo ghazlein kah lo baaki hai kuchh dard abhi
agli rutoon mein yun lagta hai sab patthar ho jaayega

काग़ज़ काग़ज़ धूल उड़ेगी फ़न बंजर हो जाएगा
जिस दिन सूखे दिल के आँसू सब पत्थर हो जाएगा

टूटेंगी जब नींद से पलकें सो जाऊँगा चुपके से
जिस जंगल में रात पड़ेगी मेरा घर हो जाएगा

ख़्वाबों के ये पंछी कब तक शोर करेंगे पलकों पर
शाम ढलेगी और सन्नाटा शाख़ों पर हो जाएगा

रात क़लम ले कर आएगी इतनी सियाही छिड़केगी
दिन का सारा मंज़र-नामा बे-मंज़र हो जाएगा

नाख़ुन से भी ईंट कुरेदें मिल-जुल कर हम-साए तो
आँगन की दीवार न टूटे लेकिन दर हो जाएगा

'क़ैसर' रो लो ग़ज़लें कह लो बाक़ी है कुछ दर्द अभी
अगली रुतों में यूँ लगता है सब पत्थर हो जाएगा

  - Qaisar-ul-Jafri

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar-ul-Jafri

As you were reading Shayari by Qaisar-ul-Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar-ul-Jafri

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari