toote hue khwaabon ki chubhan kam nahin hoti | टूटे हुए ख़्वाबों की चुभन कम नहीं होती - Qaisar-ul-Jafri

toote hue khwaabon ki chubhan kam nahin hoti
ab ro ke bhi aankhon ki jalan kam nahin hoti

kitne bhi ghanere hon tiri zulf ke saaye
ik raat mein sadiyon ki thakan kam nahin hoti

honton se piyenchaahe nigaahon se churaayein
zalim tiri khushbu-e-badan kam nahin hoti

milna hai to mil jaao yahin hashr mein kya hai
ik umr mere waada-shikan kam nahin hoti

qaisar ki ghazal se bhi na tooti ye rivaayat
is shehar mein na-qadri-e-fan kam nahin hoti

टूटे हुए ख़्वाबों की चुभन कम नहीं होती
अब रो के भी आंखों की जलन कम नहीं होती

कितने भी घनेरे हों तिरी ज़ुल्फ़ के साए
इक रात में सदियों की थकन कम नहीं होती

होंटों से पिएंचाहे निगाहों से चुराएं
ज़ालिम तिरी ख़ुशबू-ए-बदन कम नहीं होती

मिलना है तो मिल जाओ यहीं हश्र में क्या है
इक उम्र मिरे वादा-शिकन कम नहीं होती

'क़ैसर' की ग़ज़ल से भी न टूटी ये रिवायत
इस शहर में ना-क़दरी-ए-फ़न कम नहीं होती

- Qaisar-ul-Jafri
3 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar-ul-Jafri

As you were reading Shayari by Qaisar-ul-Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar-ul-Jafri

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari