abroo to dikha deejie shamsheer se pehle | अबरू तो दिखा दीजिए शमशीर से पहले

  - Qamar Jalalvi

abroo to dikha deejie shamsheer se pehle
taqseer to kuchh ho meri taazeer se pehle

maaloom hua ab meri qismat mein nahin tum
milna tha mujhe kaatib-e-taqdeer se pehle

ai dast-e-junoon tod na darwaaza-e-zindaan
main pooch to luun paanv ki zanjeer se pehle

achha hua aakhir meri qismat mein sitam the
tum mil gaye mujh ko falak-e-peer se pehle

baithe raho aisi bhi musavvir se haya kya
kahe ko khinche jaate ho tasveer se pehle

dekho to qamar un ko bula kar shab-e-wada
taqdeer pe barham na ho tadbeer se pehle

अबरू तो दिखा दीजिए शमशीर से पहले
तक़्सीर तो कुछ हो मिरी ताज़ीर से पहले

मालूम हुआ अब मिरी क़िस्मत में नहीं तुम
मिलना था मुझे कातिब-ए-तक़दीर से पहले

ऐ दस्त-ए-जुनूँ तोड़ न दरवाज़ा-ए-ज़िंदाँ
मैं पूछ तो लूँ पाँव की ज़ंजीर से पहले

अच्छा हुआ आख़िर मिरी क़िस्मत में सितम थे
तुम मिल गए मुझ को फ़लक-ए-पीर से पहले

बैठे रहो ऐसी भी मुसव्विर से हया क्या
काहे को खिंचे जाते हो तस्वीर से पहले

देखो तो 'क़मर' उन को बुला कर शब-ए-वादा
तक़दीर पे बरहम न हो तदबीर से पहले

  - Qamar Jalalvi

Qaid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Qaid Shayari Shayari