dekhte hain raqs mein din raat paimaane ko ham | देखते हैं रक़्स में दिन रात पैमाने को हम

  - Qamar Jalalvi

dekhte hain raqs mein din raat paimaane ko ham
saaqiya raas aa gaye hain tere may-khaane ko ham

le ke apne saath ik khaamosh deewane ko ham
ja rahe hain hazrat-e-naaseh ko samjhaane ko ham

yaad rakkhenge tumhaari bazm mein aane ko ham
baithne ke vaaste aghyaar uth jaane ko ham

husn majboor-e-sitam hai ishq majboor-e-wafa
sham'a ko samjhaayen ya samjhaayen parwaane ko ham

rakh ke tinke dar rahe hain kya kahega baagbaan
dekhte hain aashiyaan ki shaakh jhuk jaane ko ham

uljhane tool-e-shab-e-furqat ki aage aa gaeein
jab kabhi baithe kisi ki zulf suljhaane ko ham

raaste mein raat ko mudhbhed saaqi kuchh na pooch
mud rahe the shaikh-ji masjid ko but-khaane ko ham

shaikh-ji hota hai apna kaam apne haath se
apni masjid ko sambhalen aap but-khaane ko ham

do ghadi ke vaaste takleef ghairoon ko na de
khud hi baithe hain tiri mehfil se uth jaane ko ham

aap qaateel se maseeha ban gaye achha hua
warna apni zindagi samjhe the mar jaane ko ham

sun ke shikwa hashr mein kahte ho sharmate nahin
tum sitam karte firo duniya pe sharmaane ko ham

ai qamar dar tu ye hai aghyaar dekhenge unhen
chaandni shab mein bula laayein bula laane ko ham

देखते हैं रक़्स में दिन रात पैमाने को हम
साक़िया रास आ गए हैं तेरे मय-ख़ाने को हम

ले के अपने साथ इक ख़ामोश दीवाने को हम
जा रहे हैं हज़रत-ए-नासेह को समझाने को हम

याद रक्खेंगे तुम्हारी बज़्म में आने को हम
बैठने के वास्ते अग़्यार उठ जाने को हम

हुस्न मजबूर-ए-सितम है इश्क़ मजबूर-ए-वफ़ा
शम्अ को समझाएँ या समझाएँ परवाने को हम

रख के तिनके डर रहे हैं क्या कहेगा बाग़बाँ
देखते हैं आशियाँ की शाख़ झुक जाने को हम

उलझनें तूल-ए-शब-ए-फ़ुर्क़त की आगे आ गईं
जब कभी बैठे किसी की ज़ुल्फ़ सुलझाने को हम

रास्ते में रात को मुढभेड़ साक़ी कुछ न पूछ
मुड़ रहे थे शैख़-जी मस्जिद को बुत-ख़ाने को हम

शैख़-जी होता है अपना काम अपने हाथ से
अपनी मस्जिद को सँभालें आप बुत-ख़ाने को हम

दो घड़ी के वास्ते तकलीफ़ ग़ैरों को न दे
ख़ुद ही बैठे हैं तिरी महफ़िल से उठ जाने को हम

आप क़ातिल से मसीहा बन गए अच्छा हुआ
वर्ना अपनी ज़िंदगी समझे थे मर जाने को हम

सुन के शिकवा हश्र में कहते हो शरमाते नहीं
तुम सितम करते फिरो दुनिया पे शरमाने को हम

ऐ 'क़मर' डर तू ये है अग़्यार देखेंगे उन्हें
चाँदनी शब में बुला लाएँ बुला लाने को हम

  - Qamar Jalalvi

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari