kabhi kaha na kisi se tire fasaane ko | कभी कहा न किसी से तिरे फ़साने को

  - Qamar Jalalvi

kabhi kaha na kisi se tire fasaane ko
na jaane kaise khabar ho gai zamaane ko

dua bahaar ki maangi to itne phool khile
kahi jagah na rahi mere aashiyaane ko

meri lahd pe patangon ka khoon hota hai
huzoor sham'a na laaya karein jalane ko

suna hai gair ki mehfil mein tum na jaaoge
kaho to aaj saja luun ghareeb-khaane ko

daba ke qabr mein sab chal diye dua na salaam
zara si der mein kya ho gaya zamaane ko

ab aage is mein tumhaara bhi naam aayega
jo hukm ho to yahin chhod doon fasaane ko

qamar zara bhi nahin tum ko khof-e-ruswaai
chale ho chaandni shab mein unhen bulane ko

कभी कहा न किसी से तिरे फ़साने को
न जाने कैसे ख़बर हो गई ज़माने को

दुआ बहार की माँगी तो इतने फूल खिले
कहीं जगह न रही मेरे आशियाने को

मिरी लहद पे पतंगों का ख़ून होता है
हुज़ूर शम्अ' न लाया करें जलाने को

सुना है ग़ैर की महफ़िल में तुम न जाओगे
कहो तो आज सजा लूँ ग़रीब-ख़ाने को

दबा के क़ब्र में सब चल दिए दुआ न सलाम
ज़रा सी देर में क्या हो गया ज़माने को

अब आगे इस में तुम्हारा भी नाम आएगा
जो हुक्म हो तो यहीं छोड़ दूँ फ़साने को

'क़मर' ज़रा भी नहीं तुम को ख़ौफ़-ए-रुस्वाई
चले हो चाँदनी शब में उन्हें बुलाने को

  - Qamar Jalalvi

Khoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Khoon Shayari Shayari