soz-e-gham-e-firaq se dil ko bachaaye kaun | सोज़-ए-ग़म-ए-फ़िराक़ से दिल को बचाए कौन

  - Qamar Jalalvi

soz-e-gham-e-firaq se dil ko bachaaye kaun
zalim tiri lagaaee hui ko bujaaye kaun

mitti mareez-e-gham ki thikaane lagaaye kaun
duniya to un ke saath hai mayyat uthaaye kaun

tevar chadha ke pooch rahe hain vo haal-e-dil
roodaad-e-gham to yaad hai lekin sunaaye kaun

ham aaj kah rahe hain yahan daastaan-e-qais
kal dekhiye hamaara fasana sunaaye kaun

ai nakhuda khuda pe mujhe chhod kar to dekh
saahil pe kaun ja ke lage doob jaaye kaun

rusva karegi dekh ke duniya mujhe qamar
is chaandni mein un ko bulane ko jaaye kaun

सोज़-ए-ग़म-ए-फ़िराक़ से दिल को बचाए कौन
ज़ालिम तिरी लगाई हुई को बुझाए कौन

मिट्टी मरीज़-ए-ग़म की ठिकाने लगाए कौन
दुनिया तो उन के साथ है मय्यत उठाए कौन

तेवर चढ़ा के पूछ रहे हैं वो हाल-ए-दिल
रूदाद-ए-ग़म तो याद है लेकिन सुनाए कौन

हम आज कह रहे हैं यहाँ दास्तान-ए-क़ैस
कल देखिए हमारा फ़साना सुनाए कौन

ऐ नाख़ुदा ख़ुदा पे मुझे छोड़ कर तो देख
साहिल पे कौन जा के लगे डूब जाए कौन

रुस्वा करेगी देख के दुनिया मुझे 'क़मर'
इस चाँदनी में उन को बुलाने को जाए कौन

  - Qamar Jalalvi

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari