baarish mein ahad tod ke gar may-kashi hui | बारिश में अहद तोड़ के गर मय-कशी हुई

  - Qamar Jalalvi

baarish mein ahad tod ke gar may-kashi hui
tauba mari phiregi kahaan bheegti hui

pesh aaye laakh ranj agar ik khushi hui
parwardigaar ye bhi koi zindagi hui

achha to dono waqt mile kosie huzoor
phir bhi mareez-e-gham ki agar zindagi hui

ai andaleeb apne nasheeman ki khair maang
bijli gai hai soo-e-chaman dekhti hui

dekho charaagh-e-qabr use kya jawaab de
aayegi shaam-e-hijr mujhe poochhti hui

qaasid unhin ko ja ke diya tha hamaara khat
vo mil gaye the un se koi baat bhi hui

jab tak ki teri bazm mein chalta rahega jaam
saaqi rahegi gardish-e-dauraan ruki hui

maana ki un se raat ka wa'da hai ai qamar
kaise vo aa sakenge agar chaandni hui

बारिश में अहद तोड़ के गर मय-कशी हुई
तौबा मरी फिरेगी कहाँ भीगती हुई

पेश आए लाख रंज अगर इक ख़ुशी हुई
पर्वरदिगार ये भी कोई ज़िंदगी हुई

अच्छा तो दोनों वक़्त मिले कोसिए हुज़ूर
फिर भी मरीज़-ए-ग़म की अगर ज़िंदगी हुई

ऐ अंदलीब अपने नशेमन की ख़ैर माँग
बिजली गई है सू-ए-चमन देखती हुई

देखो चराग़-ए-क़ब्र उसे क्या जवाब दे
आएगी शाम-ए-हिज्र मुझे पूछती हुई

क़ासिद उन्हीं को जा के दिया था हमारा ख़त
वो मिल गए थे उन से कोई बात भी हुई?

जब तक कि तेरी बज़्म में चलता रहेगा जाम
साक़ी रहेगी गर्दिश-ए-दौराँ रुकी हुई

माना कि उन से रात का वा'दा है ऐ 'क़मर'
कैसे वो आ सकेंगे अगर चाँदनी हुई

  - Qamar Jalalvi

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari