baagh-e-aalam mein rahe shaadi-o-maatam ki tarah
phool ki tarah hanse ro diye shabnam ki tarah
shikwa karte ho khushi tum se manaa'i na gai
ham se gham bhi to manaaya na gaya gham ki tarah
roz mehfil se uthaate ho to dil dukhta hai
ab nikalwao to phir hazrat-e-aadam ki tarah
laakh ham rind sahi hazrat-e-wa'iz lekin
aaj tak ham ne na pee qibla-e-aalam ki tarah
tere andaaz-e-jaraahat ke nisaar ai qaateel
khoon zakhamon pe nazar aata hai marham ki tarah
khauf dil se na gaya subh ke hone ka qamar
vasl ki raat guzaari hai shab-e-gham ki tarah
बाग़-ए-आलम में रहे शादी-ओ-मातम की तरह
फूल की तरह हँसे रो दिए शबनम की तरह
शिकवा करते हो ख़ुशी तुम से मनाई न गई
हम से ग़म भी तो मनाया न गया ग़म की तरह
रोज़ महफ़िल से उठाते हो तो दिल दुखता है
अब निकलवाओ तो फिर हज़रत-ए-आदम की तरह
लाख हम रिंद सही हज़रत-ए-वाइ'ज़ लेकिन
आज तक हम ने न पी क़िब्ला-ए-आलम की तरह
तेरे अंदाज़-ए-जराहत के निसार ऐ क़ातिल
ख़ून ज़ख़्मों पे नज़र आता है मरहम की तरह
ख़ौफ़ दिल से न गया सुब्ह के होने का 'क़मर'
वस्ल की रात गुज़ारी है शब-ए-ग़म की तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi
our suggestion based on Qamar Jalalvi
As you were reading Basant Shayari Shayari