husn kab ishq ka mamnoon-e-wafa hota hai | हुस्न कब इश्क़ का ममनून-ए-वफ़ा होता है

  - Qamar Jalalvi

husn kab ishq ka mamnoon-e-wafa hota hai
laakh parwaana mare sham'a pe kya hota hai

shaghl-e-sayyaad yahi subh o masaa hota hai
qaid hota hai koi koi rihaa hota hai

jab pata chalta hai khushboo ki wafadari ka
phool jis waqt gulistaan se juda hota hai

zabt karta hoon to ghutta hai qafas mein mera dam
aah karta hoon to sayyaad khafa hota hai

khoon hota hai sehar tak mere armaanon ka
shaam-e-waada jo vo paaband-e-hina hota hai

chaandni dekh ke yaad aate hain kya kya vo mujhe
chaand jab shab ko qamar jalwa-numa hota hai

हुस्न कब इश्क़ का ममनून-ए-वफ़ा होता है
लाख परवाना मरे शम्अ पे क्या होता है

शग़्ल-ए-सय्याद यही सुब्ह ओ मसा होता है
क़ैद होता है कोई कोई रिहा होता है

जब पता चलता है ख़ुशबू की वफ़ादारी का
फूल जिस वक़्त गुलिस्ताँ से जुदा होता है

ज़ब्त करता हूँ तो घुटता है क़फ़स में मिरा दम
आह करता हूँ तो सय्याद ख़फ़ा होता है

ख़ून होता है सहर तक मिरे अरमानों का
शाम-ए-वादा जो वो पाबंद-ए-हिना होता है

चाँदनी देख के याद आते हैं क्या क्या वो मुझे
चाँद जब शब को 'क़मर' जल्वा-नुमा होता है

  - Qamar Jalalvi

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari