yun tumhaare na-tawaan-e-shauq manzil bhar chale
khaai thokar gir pade gir kar uthe uth kar chale
chhod kar beemaar ko ye kya qayamat kar chale
dam nikalne bhi na paaya aap apne ghar chale
ho gaya sayyaad barham ai aseeraan-e-qafas
band ab ye naala-o-fariyaad warna par chale
kis tarah tay ki hai manzil ishq ki ham ne na pooch
thak gaye jab paanv tera naam le le kar chale
aa rahe hain ashk aankhon mein ab ai saaqi na chhed
bas chhalakne ki kasar baaki hai saaghar bhar chale
jab bhi khaali haath the aur ab bhi khaali haath hain
le ke ham duniya mein kya aaye the kya le kar chale
husn ko ghamgeen dekhe ishq ye mumkin nahin
rok le ai sham'a aansu ab patinge mar chale
is taraf bhi ik nazar ham bhi khade hain der se
maangne waale tumhaare dar se jholi bhar chale
ai qamar shab khatm hone ko hai chhodo intizaar
saahil-e-shab se sitaare bhi kinaara kar chale
यूँ तुम्हारे ना-तवान-ए-शौक़ मंज़िल भर चले
खाई ठोकर गिर पड़े गिर कर उठे उठ कर चले
छोड़ कर बीमार को ये क्या क़यामत कर चले
दम निकलने भी न पाया आप अपने घर चले
हो गया सय्याद बरहम ऐ असीरान-ए-क़फ़स
बंद अब ये नाला-ओ-फ़रियाद वर्ना पर चले
किस तरह तय की है मंज़िल इश्क़ की हम ने न पूछ
थक गए जब पाँव तेरा नाम ले ले कर चले
आ रहे हैं अश्क आँखों में अब ऐ साक़ी न छेड़
बस छलकने की कसर बाक़ी है साग़र भर चले
जब भी ख़ाली हाथ थे और अब भी ख़ाली हाथ हैं
ले के हम दुनिया में क्या आए थे क्या ले कर चले
हुस्न को ग़मगीन देखे इश्क़ ये मुमकिन नहीं
रोक ले ऐ शम्अ आँसू अब पतिंगे मर चले
इस तरफ़ भी इक नज़र हम भी खड़े हैं देर से
माँगने वाले तुम्हारे दर से झोली भर चले
ऐ 'क़मर' शब ख़त्म होने को है छोड़ो इंतिज़ार
साहिल-ए-शब से सितारे भी किनारा कर चले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi
our suggestion based on Qamar Jalalvi
As you were reading I love you Shayari Shayari