karte bhi kya huzoor na jab apne ghar mile
dushman se ham kabhi na mile the magar mile
bulbul pe aisi barq giri aandhiyon ke saath
ghar ka pata chala na kahi baal-o-par mile
un se hamein nigah-e-karam ki umeed kya
aankhen nikaal len jo nazar se nazar mile
vaada galat pate bhi bataaye hue galat
tum apne ghar mile na raqeebon ke ghar mile
afsos hai yahi mujhe fasl-e-bahaar mein
mera chaman ho aur mujhi ko na ghar mile
chaaron taraf hai sham-e-mohabbat ki raushni
parwaane dhundh dhundh ke laai jidhar mile
करते भी क्या हुज़ूर न जब अपने घर मिले
दुश्मन से हम कभी न मिले थे मगर मिले
बुलबुल पे ऐसी बर्क़ गिरी आँधियों के साथ
घर का पता चला न कहीं बाल-ओ-पर मिले
उन से हमें निगाह-ए-करम की उमीद क्या
आँखें निकाल लें जो नज़र से नज़र मिले
वादा ग़लत पते भी बताए हुए ग़लत
तुम अपने घर मिले न रक़ीबों के घर मिले
अफ़्सोस है यही मुझे फ़स्ल-ए-बहार में
मेरा चमन हो और मुझी को न घर मिले
चारों तरफ़ है शम-ए-मोहब्बत की रौशनी
परवाने ढूँड ढूँड के लाई जिधर मिले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi
our suggestion based on Qamar Jalalvi
As you were reading Raushni Shayari Shayari