tire nisaar na dekhi koi khushi main ne
ki ab to maut ko samjha hai zindagi main ne
ye dil mein soch ke tauba bhi tod di main ne
na jaane kya kahe saaqi agar na pee main ne
koi bala mere sar par zaroor aayegi
ki teri zulf-e-pareshaan sanwaar di main ne
sehar hui shab-e-wa'da ka iztiraab gaya
sitaare chhup gaye gul kar di raushni main ne
sivaae dil mujhe dair-o-haram se kya matlab
jagah huzoor ke milne ki dhundh li main ne
jahaan chala diya saaghar ka daur ai wa'iz
wahin pe gardish-e-ayyaam rok di main ne
balaaen lene pe aap itne ho gaye barham
huzoor kaun si jaageer cheen li main ne
duaaein do mujhe dar dar junoon mein phir phir kar
tumhaari shohraten kar deen gali main ne
jawaab us ka to shaayad falak bhi de na sake
vo bandagi jo tiri raahguzaar mein ki main ne
vo jaane kaise pata de gaye the gulshan ka
na chhodaa phool na chhodi kali kali main ne
qamar vo neend mein the un ko kya khabar hogi
ki un pe shab ko lutaai hai chaandni main ne
तिरे निसार न देखी कोई ख़ुशी मैं ने
कि अब तो मौत को समझा है ज़िंदगी मैं ने
ये दिल में सोच के तौबा भी तोड़ दी मैं ने
न जाने क्या कहे साक़ी अगर न पी मैं ने
कोई बला मिरे सर पर ज़रूर आएगी
कि तेरी ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ सँवार दी मैं ने
सहर हुई शब-ए-वा'दा का इज़्तिराब गया
सितारे छुप गए गुल कर दी रौशनी मैं ने
सिवाए दिल मुझे दैर-ओ-हरम से क्या मतलब
जगह हुज़ूर के मिलने की ढूँड ली मैं ने
जहाँ चला दिया साग़र का दौर ऐ वाइ'ज़
वहीं पे गर्दिश-ए-अय्याम रोक दी मैं ने
बलाएँ लेने पे आप इतने हो गए बरहम
हुज़ूर कौन सी जागीर छीन ली मैं ने
दुआएँ दो मुझे दर दर जुनूँ में फिर फिर कर
तुम्हारी शोहरतें कर दीं गली मैं ने
जवाब उस का तो शायद फ़लक भी दे न सके
वो बंदगी जो तिरी रहगुज़र में की मैं ने
वो जाने कैसे पता दे गए थे गुलशन का
न छोड़ा फूल न छोड़ी कली कली मैं ने
'क़मर' वो नींद में थे उन को क्या ख़बर होगी
कि उन पे शब को लुटाई है चाँदनी मैं ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi
our suggestion based on Qamar Jalalvi
As you were reading Charagh Shayari Shayari