duhaai hai tiri tu le khabar o la-makaan waale | दुहाई है तिरी तू ले ख़बर ओ ला-मकाँ वाले

  - Qamar Jalalvi

duhaai hai tiri tu le khabar o la-makaan waale
chaman mein ro rahe hain aashiyaan ko aashiyaan waale

bhatk sakte nahin ab kaarwaan se kaarwaan waale
nishaani har qadam par dete jaate hain nishaan waale

qayamat hai hamaara ghar hamaare hi liye zindaan
rahein paaband ho kar aashiyaan mein aashiyaan waale

mere sayyaad ka allahu-akbar ro'b kitna hai
qafas mein bhi zabaan ko band rakhte hain zabaan waale

yahi kamzoriyaan apni rahein to ai qamar ik din
makaanon mein bhi apne rah nahin sakte makaan waale

दुहाई है तिरी तू ले ख़बर ओ ला-मकाँ वाले
चमन में रो रहे हैं आशियाँ को आशियाँ वाले

भटक सकते नहीं अब कारवाँ से कारवाँ वाले
निशानी हर क़दम पर देते जाते हैं निशाँ वाले

क़यामत है हमारा घर हमारे ही लिए ज़िंदाँ
रहें पाबंद हो कर आशियाँ में आशियाँ वाले

मिरे सय्याद का अल्लाहु-अकबर रो'ब कितना है
क़फ़स में भी ज़बाँ को बंद रखते हैं ज़बाँ वाले

यही कमज़ोरियाँ अपनी रहें तो ऐ 'क़मर' इक दिन
मकानों में भी अपने रह नहीं सकते मकाँ वाले

  - Qamar Jalalvi

Sazaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Sazaa Shayari Shayari