kisi soorat sehar nahin hoti | किसी सूरत सहर नहीं होती - Qamar Jalalvi

kisi soorat sehar nahin hoti
raat idhar se udhar nahin hoti

khauf sayyaad se na barq ka dar
baat ye apne ghar nahin hoti

ek vo hain ki roz aate hain
ek hum hain khabar nahin hoti

ab main samjha hoon kaat kar shab-e-gham
zindagi mukhtasar nahin hoti

kitni paaband-e-waz'a hai shab-e-gham
kabhi ghairoon ke ghar nahin hoti

kitni seedhi hai raah-e-mulk-e-adam
haajat-e-raahbar nahin hoti

sun liya hoga tum ne haal-e-mareez
ab dava kaargar nahin hoti

arsh milta hai meri aahon se
lekin un ko khabar nahin hoti

किसी सूरत सहर नहीं होती
रात इधर से उधर नहीं होती

ख़ौफ़ सय्याद से न बर्क़ का डर
बात ये अपने घर नहीं होती

एक वो हैं कि रोज़ आते हैं
एक हम हैं ख़बर नहीं होती

अब मैं समझा हूँ काट कर शब-ए-ग़म
ज़िंदगी मुख़्तसर नहीं होती

कितनी पाबंद-ए-वज़्अ है शब-ए-ग़म
कभी ग़ैरों के घर नहीं होती

कितनी सीधी है राह-ए-मुल्क-ए-अदम
हाजत-ए-राहबर नहीं होती

सुन लिया होगा तुम ने हाल-ए-मरीज़
अब दवा कारगर नहीं होती

अर्श मिलता है मेरी आहों से
लेकिन उन को ख़बर नहीं होती

- Qamar Jalalvi
0 Likes

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari