lahd aur hashr mein ye farq kam paaye nahin jaate | लहद और हश्र में ये फ़र्क़ कम पाए नहीं जाते

  - Qamar Jalalvi

lahd aur hashr mein ye farq kam paaye nahin jaate
yahan dhoop aa nahin sakti wahan saaye nahin jaate

kisi mehfil mein bhi aise chalan paaye nahin jaate
ki bulwaaye hue mehmaan uthwaaye nahin jaate

zameen par paau rakhne de unhen ai naaz-e-yaktaai
ki ab naqsh-e-qadam un ke kahi paaye nahin jaate

tujhe ai deeda-e-tar fikr kyun hai dil ke zakhamon ki
ki be-shabnam ke bhi ye phool murjhaaye nahin jaate

junoon waalon ko kya samjhaaoge ye vo zamaana hai
khird waale khird waalon se samjhaaye nahin jaate

wakaar-e-ishq yun bhi sham'a ki nazaron mein kuchh kam hai
patinge khud chale aate hain bulwaaye nahin jaate

fazilat hai ye insaan ki wahan tak ja pahunchta hai
farishte kya farishton ke jahaan saaye nahin jaate

bas itni baat par cheeni gai hai rahbari ham se
ki ham se kaarwaan manzil pe lutwaaye nahin jaate

qamar ki subh-e-furqat poochiye suraj ki kirnon se
sitaare to gawaahi ke liye aaye nahin jaate

लहद और हश्र में ये फ़र्क़ कम पाए नहीं जाते
यहाँ धूप आ नहीं सकती वहाँ साए नहीं जाते

किसी महफ़िल में भी ऐसे चलन पाए नहीं जाते
कि बुलवाए हुए मेहमान उठवाए नहीं जाते

ज़मीं पर पाऊँ रखने दे उन्हें ऐ नाज़-ए-यकताई
कि अब नक़्श-ए-क़दम उन के कहीं पाए नहीं जाते

तुझे ऐ दीदा-ए-तर फ़िक्र क्यूँ है दिल के ज़ख़्मों की
कि बे-शबनम के भी ये फूल मुरझाए नहीं जाते

जुनूँ वालों को क्या समझाओगे ये वो ज़माना है
ख़िरद वाले ख़िरद वालों से समझाए नहीं जाते

वक़ार-ए-इश्क़ यूँ भी शम्अ की नज़रों में कुछ कम है
पतिंगे ख़ुद चले आते हैं बुलवाए नहीं जाते

फ़ज़ीलत है ये इंसाँ की वहाँ तक जा पहुँचता है
फ़रिश्ते क्या फ़रिश्तों के जहाँ साए नहीं जाते

बस इतनी बात पर छीनी गई है रहबरी हम से
कि हम से कारवाँ मंज़िल पे लुटवाए नहीं जाते

'क़मर' की सुब्ह-ए-फ़ुर्क़त पूछिए सूरज की किरनों से
सितारे तो गवाही के लिए आए नहीं जाते

  - Qamar Jalalvi

Diwangi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Diwangi Shayari Shayari