mujhe baagbaan se gila ye hai ki chaman se be-khabri rahi | मुझे बाग़बाँ से गिला ये है कि चमन से बे-ख़बरी रही

  - Qamar Jalalvi

mujhe baagbaan se gila ye hai ki chaman se be-khabri rahi
ki hai nakhl-e-gul ka to zikr kya koi shaakh tak na hari rahi

mera haal dekh ke saaqiya koi baada-khwaar na pee saka
tire jaam khaali na ho sake meri chashm-e-tar na bhari rahi

main qafas ko tod ke kya karoon mujhe raat din ye khayal hai
ye bahaar bhi yun hi jaayegi jo yahi shikasta-paree rahi

mujhe alam tere jamaal ka na khabar hai tere jalaal ki
ye kaleem jaane ki toor par tiri kaisi jalwagari rahi

main azal se aaya to kya mila jo main jaaunga to milega kya
meri jab bhi dar-b-dari rahi meri ab bhi dar-b-dari rahi

yahi sochta hoon shab-e-alam ki na aaye vo to hua hai kya
wahan ja saki na meri fugaan ki fugaan ki be-asri rahi

shab-e-wa'ada vo jo na aa sake to qamar kahunga ye charkh se
tire taare bhi gaye raayegaan tiri chaandni bhi dhari rahi

मुझे बाग़बाँ से गिला ये है कि चमन से बे-ख़बरी रही
कि है नख़्ल-ए-गुल का तो ज़िक्र क्या कोई शाख़ तक न हरी रही

मिरा हाल देख के साक़िया कोई बादा-ख़्वार न पी सका
तिरे जाम ख़ाली न हो सके मिरी चश्म-ए-तर न भरी रही

मैं क़फ़स को तोड़ के क्या करूँ मुझे रात दिन ये ख़याल है
ये बहार भी यूँ ही जाएगी जो यही शिकस्ता-परी रही

मुझे अलम तेरे जमाल का न ख़बर है तेरे जलाल की
ये कलीम जाने कि तूर पर तिरी कैसी जल्वागरी रही

मैं अज़ल से आया तो क्या मिला जो मैं जाऊँगा तो मिलेगा क्या
मिरी जब भी दर-ब-दरी रही मिरी अब भी दर-ब-दरी रही

यही सोचता हूँ शब-ए-अलम कि न आए वो तो हुआ है क्या
वहाँ जा सकी न मिरी फ़ुग़ाँ कि फ़ुग़ाँ की बे-असरी रही

शब-ए-व'अदा वो जो न आ सके तो 'क़मर' कहूँगा ये चर्ख़ से
तिरे तारे भी गए राएगाँ तिरी चाँदनी भी धरी रही

  - Qamar Jalalvi

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari