unhen kyun phool dushman eed mein pahnaaye jaate hain
vo shaakh-e-gul ki soorat naaz se bal khaaye jaate hain
agar ham se khushi ke din bhi vo ghabraaye jaate hain
to kya ab eed milne ko farishte aaye jaate hain
vo hans kar kah rahe hain mujh se sun kar gair ke shikwe
ye kab kab ke fasaane eed mein dohraaye jaate hain
na chhed itna unhen ai waada-e-shab ki pashemaani
ki ab to eed milne par bhi vo sharmaae jaate hain
qamar afshaan chuni hai rukh pe us ne is saleeqe se
sitaare aasmaan se dekhne ko aaye jaate hain
उन्हें क्यूँ फूल दुश्मन ईद में पहनाए जाते हैं
वो शाख़-ए-गुल की सूरत नाज़ से बल खाए जाते हैं
अगर हम से ख़ुशी के दिन भी वो घबराए जाते हैं
तो क्या अब ईद मिलने को फ़रिश्ते आए जाते हैं
वो हँस कर कह रहे हैं मुझ से सुन कर ग़ैर के शिकवे
ये कब कब के फ़साने ईद में दोहराए जाते हैं
न छेड़ इतना उन्हें ऐ वादा-ए-शब की पशेमानी
कि अब तो ईद मिलने पर भी वो शरमाए जाते हैं
'क़मर' अफ़्शाँ चुनी है रुख़ पे उस ने इस सलीक़े से
सितारे आसमाँ से देखने को आए जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi
our suggestion based on Qamar Jalalvi
As you were reading Haya Shayari Shayari