dekhiye ho gai badnaam masihaai bhi
ham na kahte the ki taltee hai kahi aayi bhi
husn khuddaar ho to bais-e-shohrat hai zaroor
lekin in baaton mein ho jaati hai ruswaai bhi
saikdon ranj o alam dard o museebat shab-e-gham
kitni hangaama-talab hai meri tanhaai bhi
tum bhi deewane ke kehne ka bura maan gaye
hosh ki baat kahi karte hain saudaai bhi
baal o par dekh to lo apne aseeraan-e-qafas
kya karoge jo gulistaan mein bahaar aayi bhi
paanv vehshat mein kahi rukte hain deewaanon ke
tod daalenge ye zanjeer jo pahnaai bhi
ai mere dekhne waale tiri soorat pe nisaar
kaash hoti teri tasveer mein goyaai bhi
ai qamar vo na hui dekhiye taqdeer ki baat
chaandni raat jo qismat se kabhi aayi bhi
देखिए हो गई बदनाम मसीहाई भी
हम न कहते थे कि टलती है कहीं आई भी
हुस्न ख़ुद्दार हो तो बाइस-ए-शोहरत है ज़रूर
लेकिन इन बातों में हो जाती है रुस्वाई भी
सैंकड़ों रंज ओ अलम दर्द ओ मुसीबत शब-ए-ग़म
कितनी हंगामा-तलब है मिरी तन्हाई भी
तुम भी दीवाने के कहने का बुरा मान गए
होश की बात कहीं करते हैं सौदाई भी
बाल ओ पर देख तो लो अपने असीरान-ए-क़फ़स
क्या करोगे जो गुलिस्ताँ में बहार आई भी
पाँव वहशत में कहीं रुकते हैं दीवानों के
तोड़ डालेंगे ये ज़ंजीर जो पहनाई भी
ऐ मिरे देखने वाले तिरी सूरत पे निसार
काश होती तेरी तस्वीर में गोयाई भी
ऐ 'क़मर' वो न हुई देखिए तक़दीर की बात
चाँदनी रात जो क़िस्मत से कभी आई भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi
our suggestion based on Qamar Jalalvi
As you were reading Taareef Shayari Shayari