karenge shikwa-e-jaur-o-jafaa dil khol kar apna | करेंगे शिकवा-ए-जौर-ओ-जफ़ा दिल खोल कर अपना - Qamar Jalalvi

karenge shikwa-e-jaur-o-jafaa dil khol kar apna
ki ye maidan-e-mahshar hai na ghar un ka na ghar apna

makaan dekha kiye mud mud ke taa-hadd-e-nazar apna
jo bas chalta to le aate qafas mein ghar ka ghar apna

bahe jab aankh se aansu badha soz-e-jigar apna
hamesha meh barsate mein jala karta hai ghar apna

paseena ashk hasrat be-qaraari aakhiri hichki
ikattha kar raha hoon aaj saamaan-e-safar apna

ye shab ka khwaab ya-rab fasl-e-gul mein sach na ho jaaye
qafas ke saamne jalte hue dekha hai ghar apna

dam-e-aakhir ilaaj-e-soz-e-gham kehne ki baatein hain
mera rasta na roken raasta len chaara-gar apna

nishaanaat-e-jabeen josh-e-aqeedat khud bata denge
na poocho mujh se sajde ja ke dekho sang-e-dar apna

jawaab-e-khat ka un ke saamne kab hosh rehta hai
bataate hain pata mere bajaae nama-bar apna

mujhe ai qabr duniya chain se rahne nahin deti
chala aaya hoon itni baat par ghar chhod kar apna

shikan-aalood bistar har shikan par khoon ke dhabbe
ye haal-e-shaam-e-gham likkha hai hum ne ta-sehr apna

yahi teer-e-nazar to hain mere dil mein haseenon ke
jo pehchaano to lo pehchaan lo teer-e-nazar apna

qamar un ko na aana tha na aaye subh hone tak
shab-e-wa'ada sajaate hi rahe ghar raat bhar apna

zameen mujh se munavvar aasmaan raushan mere dam se
khuda ke fazl se dono jagah qabza qamar apna

करेंगे शिकवा-ए-जौर-ओ-जफ़ा दिल खोल कर अपना
कि ये मैदान-ए-महशर है न घर उन का न घर अपना

मकाँ देखा किए मुड़ मुड़ के ता-हद्द-ए-नज़र अपना
जो बस चलता तो ले आते क़फ़स में घर का घर अपना

बहे जब आँख से आँसू बढ़ा सोज़-ए-जिगर अपना
हमेशा मेंह बरसते में जला करता है घर अपना

पसीना अश्क हसरत बे-क़रारी आख़िरी हिचकी
इकट्ठा कर रहा हूँ आज सामान-ए-सफ़र अपना

ये शब का ख़्वाब या-रब फ़स्ल-ए-गुल में सच न हो जाए
क़फ़स के सामने जलते हुए देखा है घर अपना

दम-ए-आख़िर इलाज-ए-सोज़-ए-ग़म कहने की बातें हैं
मिरा रस्ता न रोकें रास्ता लें चारा-गर अपना

निशानात-ए-जबीं जोश-ए-अक़ीदत ख़ुद बता देंगे
न पूछो मुझ से सज्दे जा के देखो संग-ए-दर अपना

जवाब-ए-ख़त का उन के सामने कब होश रहता है
बताते हैं पता मेरे बजाए नामा-बर अपना

मुझे ऐ क़ब्र दुनिया चैन से रहने नहीं देती
चला आया हूँ इतनी बात पर घर छोड़ कर अपना

शिकन-आलूद बिस्तर हर शिकन पर ख़ून के धब्बे
ये हाल-ए-शाम-ए-ग़म लिक्खा है हम ने ता-सहर अपना

यही तीर-ए-नज़र तो हैं मिरे दिल में हसीनों के
जो पहचानो तो लो पहचान लो तीर-ए-नज़र अपना

'क़मर' उन को न आना था न आए सुब्ह होने तक
शब-ए-व'अदा सजाते ही रहे घर रात भर अपना

ज़मीं मुझ से मुनव्वर आसमाँ रौशन मिरे दम से
ख़ुदा के फ़ज़्ल से दोनों जगह क़ब्ज़ा 'क़मर' अपना

- Qamar Jalalvi
1 Like

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari