khatm shab qissa-e-mukhtasar na hui | ख़त्म शब क़िस्सा-ए-मुख़्तसर न हुई

  - Qamar Jalalvi

khatm shab qissa-e-mukhtasar na hui
sham'a gul ho gai sehar na hui

roo-e-shabnam jala jo ghar mera
phool ki kam hasi magar na hui

hashr mein bhi vo kya milenge hamein
jab mulaqaat umr-bhar na hui

aaina dekh kar ye kijie shukr
aap ko aap ki nazar na hui

sab the mehfil mein un ki mahv-e-jamaal
ek ko ek ki khabar na hui

saikdon raat ke kiye wa'de
un ki raat aaj tak qamar na hui

ख़त्म शब क़िस्सा-ए-मुख़्तसर न हुई
शम्अ' गुल हो गई सहर न हुई

रू-ए-शबनम जला जो घर मेरा
फूल की कम हँसी मगर न हुई

हश्र में भी वो क्या मिलेंगे हमें
जब मुलाक़ात उम्र-भर न हुई

आईना देख कर ये कीजिए शुक्र
आप को आप की नज़र न हुई

सब थे महफ़िल में उन की महव-ए-जमाल
एक को एक की ख़बर न हुई

सैंकड़ों रात के किए वा'दे
उन की रात आज तक 'क़मर' न हुई

  - Qamar Jalalvi

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari