ye dard-e-hijr aur is par sehar nahin hoti | ये दर्द-ए-हिज्र और इस पर सहर नहीं होती - Qamar Jalalvi

ye dard-e-hijr aur is par sehar nahin hoti
kahi idhar ki to duniya udhar nahin hoti

na ho rihaai qafas se agar nahin hoti
nigaah-e-shauq to be-baal-o-par nahin hoti

sataaye jaao nahin koi poochne waala
mitaaye jaao kisi ko khabar nahin hoti

nigah-e-bark alaava mere nasheeman ke
chaman ki aur kisi shaakh par nahin hoti

qafas mein khauf hai sayyaad ka na barq ka dar
kabhi ye baat naseeb apne ghar nahin hoti

manaane aaye ho duniya mein jab se rooth gaya
ye aisi baat hai jo darguzar nahin hoti

phiroonga hashr mein kis kis se poochta tum ko
wahan kisi ko kisi ki khabar nahin hoti

kisi gareeb ke naale hain aap kyun chaunke
huzoor shab ko azaan-e-sehr nahin hoti

ye maana aap qasam kha rahe hain va'don par
dil-e-hazeen ko tasalli magar nahin hoti

tumheen duaaein karo kuch mareez-e-gham ke liye
ki ab kisi ki dua kaargar nahin hoti

bas aaj raat ko teemaardaar so jaayen
mareez ab na kahega sehar nahin hoti

qamar ye shaam-e-firaq aur iztiraab-e-sehr
abhi to chaar-pahar tak sehar nahin hoti

ये दर्द-ए-हिज्र और इस पर सहर नहीं होती
कहीं इधर की तो दुनिया उधर नहीं होती

न हो रिहाई क़फ़स से अगर नहीं होती
निगाह-ए-शौक़ तो बे-बाल-ओ-पर नहीं होती

सताए जाओ नहीं कोई पूछने वाला
मिटाए जाओ किसी को ख़बर नहीं होती

निगाह-ए-बर्क़ अलावा मिरे नशेमन के
चमन की और किसी शाख़ पर नहीं होती

क़फ़स में ख़ौफ़ है सय्याद का न बर्क़ का डर
कभी ये बात नसीब अपने घर नहीं होती

मनाने आए हो दुनिया में जब से रूठ गया
ये ऐसी बात है जो दरगुज़र नहीं होती

फिरूंगा हश्र में किस किस से पूछता तुम को
वहाँ किसी को किसी की ख़बर नहीं होती

किसी ग़रीब के नाले हैं आप क्यूँ चौंके
हुज़ूर शब को अज़ान-ए-सहर नहीं होती

ये माना आप क़सम खा रहे हैं वा'दों पर
दिल-ए-हज़ीं को तसल्ली मगर नहीं होती

तुम्हीं दुआएँ करो कुछ मरीज़-ए-ग़म के लिए
कि अब किसी की दुआ कारगर नहीं होती

बस आज रात को तीमारदार सो जाएँ
मरीज़ अब न कहेगा सहर नहीं होती

'क़मर' ये शाम-ए-फ़िराक़ और इज़तिराब-ए-सहर
अभी तो चार-पहर तक सहर नहीं होती

- Qamar Jalalvi
2 Likes

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari