aah ko samjhe ho kya dil se agar ho jaayegi | आह को समझे हो क्या दिल से अगर हो जाएगी - Qamar Jalalvi

aah ko samjhe ho kya dil se agar ho jaayegi
vo to vo un ke farishton ko khabar ho jaayegi

poori kya moosa tamannaa toor par ho jaayegi
tum agar oopar gaye neechi nazar ho jaayegi

kya in aahon se shab-e-gham mukhtasar ho jaayegi
ye sehar hone ki baatein hain sehar ho jaayegi

aa to jaayenge vo meri aah-e-pur-taaseer se
mehfil-e-dushman mein ruswaai magar ho jaayegi

kis se poochhenge vo mere raat ke marne ka haal
tu bhi ab khaamosh ai sham-e-sehr ho jaayegi

ye bahut achha hua aayenge vo pichhle pahar
chaandni bhi khatm jab tak ai qamar ho jaayegi

आह को समझे हो क्या दिल से अगर हो जाएगी
वो तो वो उन के फ़रिश्तों को ख़बर हो जाएगी

पूरी क्या मूसा तमन्ना तूर पर हो जाएगी
तुम अगर ऊपर गए नीची नज़र हो जाएगी

क्या इन आहों से शब-ए-ग़म मुख़्तसर हो जाएगी
ये सहर होने की बातें हैं सहर हो जाएगी

आ तो जाएँगे वो मेरी आह-ए-पुर-तासीर से
महफ़िल-ए-दुश्मन में रुस्वाई मगर हो जाएगी

किस से पूछेंगे वो मेरे रात के मरने का हाल
तू भी अब ख़ामोश ऐ शम-ए-सहर हो जाएगी

ये बहुत अच्छा हुआ आएँगे वो पिछले पहर
चाँदनी भी ख़त्म जब तक ऐ 'क़मर' हो जाएगी

- Qamar Jalalvi
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari