shaikh aakhir ye suraahi hai koi khum to nahin | शैख़ आख़िर ये सुराही है कोई ख़ुम तो नहीं

  - Qamar Jalalvi

shaikh aakhir ye suraahi hai koi khum to nahin
aur bhi baithe hain mehfil mein humeen tum to nahin

na-khuda hosh mein aa hosh tire gum to nahin
ye to saahil ke hain aasaar-e-talaatum to nahin

naaz-o-andaaz-o-ada honton pe halki si hasi
teri tasveer mein sab kuchh hai takallum to nahin

dekh anjaam mohabbat ka bura hota hai
mujh se duniya yahi kahti hai bas ik tum to nahin

muskuraate hain saleeqe se chaman mein gunche
tum se seekha hua andaaz-e-tabassum to nahin

ab ye mansoor ko di jaati hai naahak sooli
haq ki poocho to vo andaaz-e-takallum to nahin

chaandni-raat ka kya lutf qamar ko aaye
laakh taaron ki bahaarein hain magar tum to nahin

शैख़ आख़िर ये सुराही है कोई ख़ुम तो नहीं
और भी बैठे हैं महफ़िल में हमीं तुम तो नहीं

ना-ख़ुदा होश में आ होश तिरे गुम तो नहीं
ये तो साहिल के हैं आसार-ए-तलातुम तो नहीं

नाज़-ओ-अंदाज़-ओ-अदा होंटों पे हल्की सी हँसी
तेरी तस्वीर में सब कुछ है तकल्लुम तो नहीं

देख अंजाम मोहब्बत का बुरा होता है
मुझ से दुनिया यही कहती है बस इक तुम तो नहीं

मुस्कुराते हैं सलीक़े से चमन में ग़ुंचे
तुम से सीखा हुआ अंदाज़-ए-तबस्सुम तो नहीं

अब ये मंसूर को दी जाती है नाहक़ सूली
हक़ की पूछो तो वो अंदाज़-ए-तकल्लुम तो नहीं

चाँदनी-रात का क्या लुत्फ़ 'क़मर' को आए
लाख तारों की बहारें हैं मगर तुम तो नहीं

  - Qamar Jalalvi

Tanz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Tanz Shayari Shayari