ye roz hashr ka aur shikwa-e-wafa ke liye
khuda ke saamne to chup raho khuda ke liye
ilaahi waqt badal de meri qaza ke liye
jo kosate the vo baithe hain ab dua ke liye
bhanwar se naav bache tere bas ki baat nahin
khuda pe chhod de ai nakhuda khuda ke liye
hamaare vaaste marna to koi baat nahin
magar tumhein na milega koi wafa ke liye
hazaar baar mile vo magar naseeb ki baat
kabhi zabaan na khuli arz-e-muddaa ke liye
koi zaroor hai deedaar-e-aakhiri mein naqaab
hazaar waqt pade hain tiri haya ke liye
mujhe mita to rahe ho maal bhi socho
khata mua'af taras jaaoge wafa ke liye
vo jaan kar mujhe tanhaa meri nahin sunte
kahaan se laaun zamaane ko iltijaa ke liye
mere jale hue tinkon ki garmiyaan tauba
khula hua hai garebaan-e-gul hawa ke liye
mareez kitna tha khuddaar jaan tak de di
magar zabaan na khuli arz-e-muddaa ke liye
vo ibtidaa-e-mohabbat vo ehtiyaat-e-kalaam
banaaye jaate the alfaaz iltijaa ke liye
zara mareez-e-mohabbat ko tum bhi dekh aao
ki man' karte hain ab chaaragar dava ke liye
qamar nahin hai wafadar khair yoonhi sahi
huzoor aur koi dhoondh len wafa ke liye
ये रोज़ हश्र का और शिकवा-ए-वफ़ा के लिए
ख़ुदा के सामने तो चुप रहो ख़ुदा के लिए
इलाही वक़्त बदल दे मिरी क़ज़ा के लिए
जो कोसते थे वो बैठे हैं अब दुआ के लिए
भँवर से नाव बचे तेरे बस की बात नहीं
ख़ुदा पे छोड़ दे ऐ नाख़ुदा ख़ुदा के लिए
हमारे वास्ते मरना तो कोई बात नहीं
मगर तुम्हें न मिलेगा कोई वफ़ा के लिए
हज़ार बार मिले वो मगर नसीब की बात
कभी ज़बाँ न खुली अर्ज़-ए-मुद्दआ के लिए
कोई ज़रूर है दीदार-ए-आख़िरी में नक़ाब
हज़ार वक़्त पड़े हैं तिरी हया के लिए
मुझे मिटा तो रहे हो मआल भी सोचो
ख़ता मुआ'फ़ तरस जाओगे वफ़ा के लिए
वो जान कर मुझे तन्हा मिरी नहीं सुनते
कहाँ से लाऊँ ज़माने को इल्तिजा के लिए
मिरे जले हुए तिनकों की गर्मियाँ तौबा
खुला हुआ है गरेबान-ए-गुल हवा के लिए
मरीज़ कितना था ख़ुद्दार जान तक दे दी
मगर ज़बाँ न खुली अर्ज़-ए-मुद्दआ के लिए
वो इब्तिदा-ए-मोहब्बत वो एहतियात-ए-कलाम
बनाए जाते थे अल्फ़ाज़ इल्तिजा के लिए
ज़रा मरीज़-ए-मोहब्बत को तुम भी देख आओ
कि मनअ' करते हैं अब चारागर दवा के लिए
'क़मर' नहीं है वफ़ादार ख़ैर यूँही सही
हुज़ूर और कोई ढूँढ लें वफ़ा के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi
our suggestion based on Qamar Jalalvi
As you were reading Urdu Shayari Shayari