kab mera nasheeman ahl-e-chaman gulshan mein gawara karte hain | कब मेरा नशेमन अहल-ए-चमन गुलशन में गवारा करते हैं - Qamar Jalalvi

kab mera nasheeman ahl-e-chaman gulshan mein gawara karte hain
gunche apni aawazon mein bijli ko pukaara karte hain

ab naz'a ka aalam hai mujh par tum apni mohabbat waapas lo
jab kashti doobne lagti hai to bojh utaara karte hain

jaati hui mayyat dekh ke bhi wallaah tum uth ke aa na sake
do chaar qadam to dushman bhi takleef gawara karte hain

be-wajah na jaane kyun zid hai un ko shab-e-furqat waalon se
vo raat badha dene ke liye gesu ko sanwaara karte hain

poncho na arq rukhsaaron se rangeeni-e-husn ko badhne do
sunte hain ki shabnam ke qatre phoolon ko nikhaara karte hain

kuch husn o ishq mein farq nahin hai bhi to faqat ruswaai ka
tum ho ki gawara kar na sake ham hain ki gawara karte hain

taaron ki bahaaron mein bhi qamar tum afsurda se rahte ho
phoolon ko to dekho kaanton mein hans hans ke guzaara karte hain

कब मेरा नशेमन अहल-ए-चमन गुलशन में गवारा करते हैं
ग़ुंचे अपनी आवाज़ों में बिजली को पुकारा करते हैं

अब नज़्अ' का आलम है मुझ पर तुम अपनी मोहब्बत वापस लो
जब कश्ती डूबने लगती है तो बोझ उतारा करते हैं

जाती हुई मय्यत देख के भी वल्लाह तुम उठ के आ न सके
दो चार क़दम तो दुश्मन भी तकलीफ़ गवारा करते हैं

बे-वजह न जाने क्यूँ ज़िद है उन को शब-ए-फ़ुर्क़त वालों से
वो रात बढ़ा देने के लिए गेसू को सँवारा करते हैं

पोंछो न अरक़ रुख़्सारों से रंगीनी-ए-हुस्न को बढ़ने दो
सुनते हैं कि शबनम के क़तरे फूलों को निखारा करते हैं

कुछ हुस्न ओ इश्क़ में फ़र्क़ नहीं है भी तो फ़क़त रुस्वाई का
तुम हो कि गवारा कर न सके हम हैं कि गवारा करते हैं

तारों की बहारों में भी 'क़मर' तुम अफ़्सुर्दा से रहते हो
फूलों को तो देखो काँटों में हँस हँस के गुज़ारा करते हैं

- Qamar Jalalvi
1 Like

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari