hattee zulf un ke chehre se magar aahista aahista | हटी ज़ुल्फ़ उन के चेहरे से मगर आहिस्ता आहिस्ता

  - Qamar Jalalvi

hattee zulf un ke chehre se magar aahista aahista
ayaan suraj hua waqt-e-sehr aahista aahista

chatk kar di sada gunche ne shaakh-e-gul ki jumbish par
ye gulshan hai zara baad-e-sehr aahista aahista

qafas mein dekh kar baazu aseer aapas mein kahte hain
bahaar-e-gul tak aa jaayenge par aahista aahista

koi chhup jaayega beemaar-e-shaam-e-hijr ka marna
pahunch jaayegi un tak bhi khabar aahista aahista

gham-e-tabdeeli-e-gulshan kahaan tak phir ye gulshan hai
qafas bhi ho to ban jaata hai ghar aahista aahista

hamaare baagbaan ne kah diya gulchein ke shikwe par
naye ashjaar bhi denge samar aahista aahista

ilaahi kaun sa waqt aa gaya beemaar-e-furqat par
ki uth kar chal diye sab chaara-gar aahista aahista

na jaane kyun na aaya warna ab tak kab ka aa jaata
agar chalta wahan se nama-bar aahista aahista

khafa bhi hain iraada bhi hai shaayad baat karne ka
vo chal nikle hain mujh ko dekh kar aahista aahista

jawaani aa gai dil chhedne ki badh gaeein mashken
chalaana aa gaya teer-e-nazar aahista aahista

jise ab dekh kar ik jaan padti hai mohabbat mein
yahi ban jaayegi qaateel nazar aahista aahista

abhi tak yaad hai kal ki shab-e-gham aur tanhaai
phir is par chaand ka dhalna qamar aahista aahista

हटी ज़ुल्फ़ उन के चेहरे से मगर आहिस्ता आहिस्ता
अयाँ सूरज हुआ वक़्त-ए-सहर आहिस्ता आहिस्ता

चटक कर दी सदा ग़ुंचे ने शाख़-ए-गुल की जुम्बिश पर
ये गुलशन है ज़रा बाद-ए-सहर आहिस्ता आहिस्ता

क़फ़स में देख कर बाज़ू असीर आपस में कहते हैं
बहार-ए-गुल तक आ जाएँगे पर आहिस्ता आहिस्ता

कोई छुप जाएगा बीमार-ए-शाम-ए-हिज्र का मरना
पहुँच जाएगी उन तक भी ख़बर आहिस्ता आहिस्ता

ग़म-ए-तब्दीली-ए-गुलशन कहाँ तक फिर ये गुलशन है
क़फ़स भी हो तो बन जाता है घर आहिस्ता आहिस्ता

हमारे बाग़बाँ ने कह दिया गुलचीं के शिकवे पर
नए अश्जार भी देंगे समर आहिस्ता आहिस्ता

इलाही कौन सा वक़्त आ गया बीमार-ए-फ़ुर्क़त पर
कि उठ कर चल दिए सब चारा-गर आहिस्ता आहिस्ता

न जाने क्यूँ न आया वर्ना अब तक कब का आ जाता
अगर चलता वहाँ से नामा-बर आहिस्ता आहिस्ता

ख़फ़ा भी हैं इरादा भी है शायद बात करने का
वो चल निकले हैं मुझ को देख कर आहिस्ता आहिस्ता

जवानी आ गई दिल छेदने की बढ़ गईं मश्क़ें
चलाना आ गया तीर-ए-नज़र आहिस्ता आहिस्ता

जिसे अब देख कर इक जान पड़ती है मोहब्बत में
यही बन जाएगी क़ातिल नज़र आहिस्ता आहिस्ता

अभी तक याद है कल की शब-ए-ग़म और तन्हाई
फिर इस पर चाँद का ढलना 'क़मर' आहिस्ता आहिस्ता

  - Qamar Jalalvi

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari