raaz-e-dil kyun na kahoon saamne deewaanon ke | राज़-ए-दिल क्यूँ न कहूँ सामने दीवानों के - Qamar Jalalvi

raaz-e-dil kyun na kahoon saamne deewaanon ke
ye to vo log hain apnon ke na begaano'n ke

vo bhi kya daur the saaqi tire mastaanon ke
raaste raah taka karte the may-khaanon ke

baadlon par ye ishaare tire deewaanon ke
tukde pahunchen hain kahaan ud ke garebaanon ke

raaste band kiye dete ho deewaanon ke
dher lag jaayenge basti mein garebaanon ke

na azaan deta na hushiyaar brahman hota
dar to us shaikh ne khulwaaye hain butkhaano ke

aap din-raat sanwaara karein gesu to kya
kahi haalaat badalte hain pareshaanon ke

man' kar giryaa-e-shabnam pe na ye phool hansein
laale pad jaayenge ai baad-e-saba jaanon ke

kya zamaana tha udhar shaam idhar haath mein jaam
subh tak daur chala karte the paimaanon ke

vo bhi kya din the udhar shaam idhar haath mein jaam
ab to raaste bhi rahe yaad na may-khaanon ke

aaj tak to meri kashti ne na paai manzil
qafile saikdon gum ho gaye toofaanon ke

khaak-e-sehra pe lakeeren hain unhen phir dekho
kahi ye khat na hon likkhe hue deewaanon ke

dekhiye charkh pe taare bhi hain kya be-tarteeb
jaise bikhre hue tukde mere paimaanon ke

haath khaali hain magar mulk-e-adam ka hai safar
hausale dekhiye un be-sar-o-samaanon ke

sar jhukaaye hue baithe hain jo ka'be mein qamar
aise hote hain nikale hue butkhaano ke

राज़-ए-दिल क्यूँ न कहूँ सामने दीवानों के
ये तो वो लोग हैं अपनों के न बेगानों के

वो भी क्या दौर थे साक़ी तिरे मस्तानों के
रास्ते राह तका करते थे मय-ख़ानों के

बादलों पर ये इशारे तिरे दीवानों के
टुकड़े पहुँचे हैं कहाँ उड़ के गरेबानों के

रास्ते बंद किए देते हो दीवानों के
ढेर लग जाएँगे बस्ती में गरेबानों के

न अज़ाँ देता न हुशियार बरहमन होता
दर तो उस शैख़ ने खुलवाए हैं बुतख़ानों के

आप दिन-रात सँवारा करें गेसू तो क्या
कहीं हालात बदलते हैं परेशानों के

मनअ' कर गिर्या-ए-शबनम पे न ये फूल हँसें
लाले पड़ जाएँगे ऐ बाद-ए-सबा जानों के

क्या ज़माना था उधर शाम इधर हाथ में जाम
सुब्ह तक दौर चला करते थे पैमानों के

वो भी क्या दिन थे उधर शाम इधर हाथ में जाम
अब तो रस्ते भी रहे याद न मय-ख़ानों के

आज तक तो मिरी कश्ती ने न पाई मंज़िल
क़ाफ़िले सैंकड़ों गुम हो गए तूफ़ानों के

ख़ाक-ए-सहरा पे लकीरें हैं उन्हें फिर देखो
कहीं ये ख़त न हों लिक्खे हुए दीवानों के

देखिए चर्ख़ पे तारे भी हैं क्या बे-तरतीब
जैसे बिखरे हुए टुकड़े मिरे पैमानों के

हाथ ख़ाली हैं मगर मुल्क-ए-अदम का है सफ़र
हौसले देखिए उन बे-सर-ओ-सामानों के

सर झुकाए हुए बैठे हैं जो का'बे में 'क़मर'
ऐसे होते हैं निकाले हुए बुतख़ानों के

- Qamar Jalalvi
0 Likes

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari