mera khaamosh rah kar bhi unhen sab kuchh suna dena | मिरा ख़ामोश रह कर भी उन्हें सब कुछ सुना देना

  - Qamar Jalalvi

mera khaamosh rah kar bhi unhen sab kuchh suna dena
zabaan se kuchh na kehna dekh kar aansu baha dena

nasheeman ho na ho ye to falak ka mashghala thehra
ki do tinke jahaan par dekhna bijli gira dena

main is haalat se pahuncha hashr waale khud pukaar utthe
koi fariyaad waala aa raha hai raasta dena

ijaazat ho to kah doon qissa-e-ulfat sar-e-mahfil
mujhe kuchh to fasana yaad hai kuchh tum suna dena

main mujrim hoon mujhe iqaar hai jurm-e-mohabbat ka
magar pehle to khat par ghaur kar lo phir saza dena

hata kar rukh se gesu subh kar dena to mumkin hai
magar sarkaar ke bas mein nahin taare chhupa dena

ye tahzeeb-e-chaman badli hai bairooni hawaon ne
garebaan-chaak phoolon par kali ka muskuraa dena

qamar vo sab se chhup kar aa rahe hain faatiha padhne
kahoon kis se ki meri sham-e-turbat ko bujha dena

मिरा ख़ामोश रह कर भी उन्हें सब कुछ सुना देना
ज़बाँ से कुछ न कहना देख कर आँसू बहा देना

नशेमन हो न हो ये तो फ़लक का मश्ग़ला ठहरा
कि दो तिनके जहाँ पर देखना बिजली गिरा देना

मैं इस हालत से पहुँचा हश्र वाले ख़ुद पुकार उठ्ठे
कोई फ़रियाद वाला आ रहा है रास्ता देना

इजाज़त हो तो कह दूँ क़िस्सा-ए-उल्फ़त सर-ए-महफ़िल
मुझे कुछ तो फ़साना याद है कुछ तुम सुना देना

मैं मुजरिम हूँ मुझे इक़रार है जुर्म-ए-मोहब्बत का
मगर पहले तो ख़त पर ग़ौर कर लो फिर सज़ा देना

हटा कर रुख़ से गेसू सुब्ह कर देना तो मुमकिन है
मगर सरकार के बस में नहीं तारे छुपा देना

ये तहज़ीब-ए-चमन बदली है बैरूनी हवाओं ने
गरेबाँ-चाक फूलों पर कली का मुस्कुरा देना

'क़मर' वो सब से छुप कर आ रहे हैं फ़ातिहा पढ़ने
कहूँ किस से कि मेरी शम-ए-तुर्बत को बुझा देना

  - Qamar Jalalvi

Qaid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Qaid Shayari Shayari