tujhe kya naaseha ahbaab khud samjhaaye jaate hain | तुझे क्या नासेहा अहबाब ख़ुद समझाए जाते हैं

  - Qamar Jalalvi

tujhe kya naaseha ahbaab khud samjhaaye jaate hain
idhar tu khaaye jaata hai udhar vo khaaye jaate hain

chaman waalon se ja kar ai naseem-e-subh kah dena
aseeraan-e-qafas ke aaj par katwaaye jaate hain

kahi bedi atakti hai kahi zanjeer uljhti hai
badi mushkil se deewane tire dafnaaye jaate hain

unhen ghairoon ke ghar dekha hai aur inkaar hai un ko
main baatein pee raha hoon aur vo qasmen khaaye jaate hain

khuda mahfooz rakhe naala-ha-e-shaam-e-furqat se
zameen bhi kaanpati hai aasmaan tharraaye jaate hain

koi dam ashk thamte hi nahin aisa bhi kya rona
qamar do-chaar din ki baat hai vo aaye jaate hain

तुझे क्या नासेहा अहबाब ख़ुद समझाए जाते हैं
इधर तू खाए जाता है उधर वो खाए जाते हैं

चमन वालों से जा कर ऐ नसीम-ए-सुब्ह कह देना
असीरान-ए-क़फ़स के आज पर कटवाए जाते हैं

कहीं बेड़ी अटकती है कहीं ज़ंजीर उलझती है
बड़ी मुश्किल से दीवाने तिरे दफ़नाए जाते हैं

उन्हें ग़ैरों के घर देखा है और इंकार है उन को
मैं बातें पी रहा हूँ और वो क़समें खाए जाते हैं

ख़ुदा महफ़ूज़ रक्खे नाला-हा-ए-शाम-ए-फ़ुर्क़त से
ज़मीं भी काँपती है आसमाँ थर्राए जाते हैं

कोई दम अश्क थमते ही नहीं ऐसा भी क्या रोना
'क़मर' दो-चार दिन की बात है वो आए जाते हैं

  - Qamar Jalalvi

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari