saans un ke mareez-e-hasrat ki ruk ruk ke chalti jaati hai | साँस उन के मरीज़-ए-हसरत की रुक रुक के चलती जाती है

  - Qamar Jalalvi

saans un ke mareez-e-hasrat ki ruk ruk ke chalti jaati hai
mayus nazar hai dar ki taraf aur jaan nikalti jaati hai

chehre se sarkati jaati hai zulf un ki khwaab ke aalam mein
vo hain ki abhi tak hosh nahin aur shab hai ki dhalti jaati hai

allah khabar bijli ko na ho gulchein ki nigaah-e-bad na pade
jis shaakh pe tinke rakhe hain vo phoolti-falti jaati hai

aariz pe numayaan khaal hue phir sabza-e-khat aaghaaz hua
quraan to haqeeqat mein hai wahi tafseer badalti jaati hai

tauheen-e-mohabbat bhi na rahi vo jaur-o-sitam bhi chhoot gaye
pehle ki b-nisbat husn ki ab har baat badalti jaati hai

laaj apni maseeha ne rakh li marne na diya beemaaron ko
jo maut na talne waali thi vo maut bhi taltee jaati hai

hai bazm-e-jahaan mein naa-mumkin be-ishq salaamat husn rahe
parwaane to jal kar khaak hue ab sham'a bhi jaltee jaati hai

shikwa bhi agar main karta hoon to zor-e-falak ka karta hoon
be-wajh qamar taaron ki nazar kyun mujh se badalti jaati hai

साँस उन के मरीज़-ए-हसरत की रुक रुक के चलती जाती है
मायूस नज़र है दर की तरफ़ और जान निकलती जाती है

चेहरे से सरकती जाती है ज़ुल्फ़ उन की ख़्वाब के आलम में
वो हैं कि अभी तक होश नहीं और शब है कि ढलती जाती है

अल्लाह ख़बर बिजली को न हो गुलचीं की निगाह-ए-बद न पड़े
जिस शाख़ पे तिनके रक्खे हैं वो फूलती-फलती जाती है

आरिज़ पे नुमायाँ ख़ाल हुए फिर सब्ज़ा-ए-ख़त आग़ाज़ हुआ
क़ुरआँ तो हक़ीक़त में है वही तफ़्सीर बदलती जाती है

तौहीन-ए-मोहब्बत भी न रही वो जौर-ओ-सितम भी छूट गए
पहले की ब-निसबत हुस्न की अब हर बात बदलती जाती है

लाज अपनी मसीहा ने रख ली मरने न दिया बीमारों को
जो मौत न टलने वाली थी वो मौत भी टलती जाती है

है बज़्म-ए-जहाँ में ना-मुम्किन बे-इश्क़ सलामत हुस्न रहे
परवाने तो जल कर ख़ाक हुए अब शम्अ भी जलती जाती है

शिकवा भी अगर मैं करता हूँ तो जौर-ए-फ़लक का करता हूँ
बे-वज्ह 'क़मर' तारों की नज़र क्यूँ मुझ से बदलती जाती है

  - Qamar Jalalvi

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari