kisi ka naam lo be-naam afsaane bahut se hain
na jaane kis ko tum kahte ho deewane bahut se hain
jafaon ke gale tum se khuda jaane bahut se hain
magar mahshar ka din hai apne begaane bahut se hain
banaaye de rahi hain ajnabi naadaariyaan mujh ko
tiri mehfil mein warna jaane-pahchaane bahut se hain
dhari rah jaayegi paabandi-e-zindaan jo ab chheda
ye darbaanon ko samjha do ki deewane bahut se hain
bas ab so jaao neend aankhon mein hai kal phir sunaayenge
zara si rah gai hai raat afsaane bahut se hain
tumhein kis ne bulaaya may-kashon se ye na kah saaqi
tabi'at mil gai hai warna maykhaane bahut se hain
badi qurbaaniyon ke ba'ad rahna baagh mein hoga
abhi to aashiyaan bijli se jalwaane bahut se hain
likhi hai khaak udaani hi agar apne muqaddar mein
tire kooche pe kya mauqoof veeraane bahut se hain
na ro ai sham'a maujooda patangon ki museebat par
abhi mehfil se baahar tere parwaane bahut se hain
mere kehne se hogi tark-e-rasm-o-raah ghairoon se
baja hai aap ne kehne mere maane bahut se hain
qamar allah saath eimaan ke manzil pe pahuncha de
haram ki raah mein sunte hain but-khaane bahut se hain
किसी का नाम लो बे-नाम अफ़्साने बहुत से हैं
न जाने किस को तुम कहते हो दीवाने बहुत से हैं
जफ़ाओं के गले तुम से ख़ुदा जाने बहुत से हैं
मगर महशर का दिन है अपने बेगाने बहुत से हैं
बनाए दे रही हैं अजनबी नादारियाँ मुझ को
तिरी महफ़िल में वर्ना जाने-पहचाने बहुत से हैं
धरी रह जाएगी पाबंदी-ए-ज़िंदाँ जो अब छेड़ा
ये दरबानों को समझा दो कि दीवाने बहुत से हैं
बस अब सो जाओ नींद आँखों में है कल फिर सुनाएँगे
ज़रा सी रह गई है रात अफ़्साने बहुत से हैं
तुम्हें किस ने बुलाया मय-कशों से ये न कह साक़ी
तबीअ'त मिल गई है वर्ना मयख़ाने बहुत से हैं
बड़ी क़ुर्बानियों के बा'द रहना बाग़ में होगा
अभी तो आशियाँ बिजली से जलवाने बहुत से हैं
लिखी है ख़ाक उड़ानी ही अगर अपने मुक़द्दर में
तिरे कूचे पे क्या मौक़ूफ़ वीराने बहुत से हैं
न रो ऐ शम्अ' मौजूदा पतंगों की मुसीबत पर
अभी महफ़िल से बाहर तेरे परवाने बहुत से हैं
मिरे कहने से होगी तर्क-ए-रस्म-ओ-राह ग़ैरों से
बजा है आप ने कहने मिरे माने बहुत से हैं
'क़मर' अल्लाह साथ ईमान के मंज़िल पे पहुँचा दे
हरम की राह में सुनते हैं बुत-ख़ाने बहुत से हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi
our suggestion based on Qamar Jalalvi
As you were reading Chaand Shayari Shayari