chhod kar ghar-baar apna hasrat-e-deedaar mein | छोड़ कर घर-बार अपना हसरत-ए-दीदार में

  - Qamar Jalalvi

chhod kar ghar-baar apna hasrat-e-deedaar mein
ik tamasha ban ke aa baitha hoon ku-e-yaar mein

dam nikal jaayega hasrat se na dekh ai nakhuda
ab meri qismat pe kashti chhod de manjhdhaar mein

dekh bhi aa baat kehne ke liye ho jaayegi
sirf ginti ki hain saansen ab tire beemaar mein

fasl-e-gul mein kis qadar manhoos hai rona mera
main ne jab naale kiye bijli giri gulzaar mein

jal gaya mera nasheeman ye to main ne sun liya
baagbaan to khairiyat se hai saba gulzaar mein

छोड़ कर घर-बार अपना हसरत-ए-दीदार में
इक तमाशा बन के आ बैठा हूँ कू-ए-यार में

दम निकल जाएगा हसरत से न देख ऐ नाख़ुदा
अब मिरी क़िस्मत पे कश्ती छोड़ दे मंजधार में

देख भी आ बात कहने के लिए हो जाएगी
सिर्फ़ गिनती की हैं साँसें अब तिरे बीमार में

फ़स्ल-ए-गुल में किस क़दर मनहूस है रोना मिरा
मैं ने जब नाले किए बिजली गिरी गुलज़ार में

जल गया मेरा नशेमन ये तो मैं ने सुन लिया
बाग़बाँ तो ख़ैरियत से है सबा गुलज़ार में

  - Qamar Jalalvi

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari