ab to munh se bol mujh ko dekh din bhar ho gaya | अब तो मुँह से बोल मुझ को देख दिन भर हो गया

  - Qamar Jalalvi

ab to munh se bol mujh ko dekh din bhar ho gaya
ai but-e-khaamosh kya sach-much ka patthar ho gaya

ab to chup ho baagh mein naalon se mahshar ho gaya
ye bhi ai bulbul koi sayyaad ka ghar ho gaya

iltimaas-e-qatl par kahte ho furqat hi nahin
ab tumhein itna ghuroor allahu-akbar ho gaya

mehfil-e-dushman mein jo guzri vo mere dil se pooch
har ishaara jumbish-e-abroo ka khanjar ho gaya

aashiyaane ka bataayein kya pata khaana-b-dosh
chaar tinke rakh liye jis shaakh par ghar ho gaya

hirs to dekho falak bhi mujh pe karta hai sitam
koi pooche to bhi kya un ke barabar ho gaya

sokhta dil mein na milta teer ko khun ai qamar
ye bhi kuchh mehmaan ki qismat se mayassar ho gaya

अब तो मुँह से बोल मुझ को देख दिन भर हो गया
ऐ बुत-ए-ख़ामोश क्या सच-मुच का पत्थर हो गया

अब तो चुप हो बाग़ में नालों से महशर हो गया
ये भी ऐ बुलबुल कोई सय्याद का घर हो गया

इल्तिमास-ए-क़त्ल पर कहते हो फ़ुर्सत ही नहीं
अब तुम्हें इतना ग़ुरूर अल्लाहु-अकबर हो गया

महफ़िल-ए-दुश्मन में जो गुज़री वो मेरे दिल से पूछ
हर इशारा जुम्बिश-ए-अबरू का ख़ंजर हो गया

आशियाने का बताएँ क्या पता ख़ाना-ब-दोश
चार तिनके रख लिए जिस शाख़ पर घर हो गया

हिर्स तो देखो फ़लक भी मुझ पे करता है सितम
कोई पूछे तो भी क्या उन के बराबर हो गया

सोख़्ता दिल में न मिलता तीर को ख़ूँ ऐ 'क़मर'
ये भी कुछ मेहमाँ की क़िस्मत से मयस्सर हो गया

  - Qamar Jalalvi

Jafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Jafa Shayari Shayari