b-juz tumhaare kisi se koi sawaal nahin | ब-जुज़ तुम्हारे किसी से कोई सवाल नहीं

  - Qamar Jalalvi

b-juz tumhaare kisi se koi sawaal nahin
ki jaise saare zamaane se bol-chaal nahin

ye sochta hoon ki tu kyun nazar nahin aata
meri nigaah nahin ya tira jamaal nahin

tajaahul apni jafaon pe aur mahshar mein
khuda ke saamne kahte ho tum khayal nahin

ye kah ke jalwe se behosh ho gaye moosa
nigaah us se milaaun meri majaal nahin

main har bahaar-e-gulistaan pe ghaur karta hoon
jala na ho mera ghar aisa koi saal nahin

khata muaaf ki sarkaar munh pe kehta hoon
baghair aaina kah lo meri misaal nahin

main chaandni mein bulaata to hoon vo kah denge
qamar tumhein meri ruswaai ka khayal nahin

ब-जुज़ तुम्हारे किसी से कोई सवाल नहीं
कि जैसे सारे ज़माने से बोल-चाल नहीं

ये सोचता हूँ कि तू क्यूँ नज़र नहीं आता
मिरी निगाह नहीं या तिरा जमाल नहीं

तजाहुल अपनी जफ़ाओं पे और महशर में
ख़ुदा के सामने कहते हो तुम ख़याल नहीं

ये कह के जल्वे से बेहोश हो गए मूसा
निगाह उस से मिलाऊँ मिरी मजाल नहीं

मैं हर बहार-ए-गुलिस्ताँ पे ग़ौर करता हूँ
जला न हो मिरा घर ऐसा कोई साल नहीं

ख़ता मुआफ़ कि सरकार मुँह पे कहता हूँ
बग़ैर आईना कह लो मिरी मिसाल नहीं

मैं चाँदनी में बुलाता तो हूँ वो कह देंगे
'क़मर' तुम्हें मिरी रुस्वाई का ख़याल नहीं

  - Qamar Jalalvi

Politics Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Politics Shayari Shayari