dono hain un ke hijr ka haasil liye hue | दोनों हैं उन के हिज्र का हासिल लिए हुए

  - Qamar Jalalvi

dono hain un ke hijr ka haasil liye hue
dil ko hai dard dard ko hai dil liye hue

dekha khuda pe chhod ke kashti ko nakhuda
jaise khud aa gaya koi saahil liye hue

dekho hamaare sabr ki himmat na toot jaaye
tum raat din satao magar dil liye hue

vo shab bhi yaad hai ki main pahuncha tha bazm mein
aur tum uthe the raunaq-e-mehfil liye hue

apni zarooriyaat hain apni zarooriyaat
aana pada tumhein talab-e-dil liye hue

baitha jo dil to chaand dikha kar kaha qamar
vo saamne charaagh hai manzil liye hue

दोनों हैं उन के हिज्र का हासिल लिए हुए
दिल को है दर्द दर्द को है दिल लिए हुए

देखा ख़ुदा पे छोड़ के कश्ती को नाख़ुदा
जैसे ख़ुद आ गया कोई साहिल लिए हुए

देखो हमारे सब्र की हिम्मत न टूट जाए
तुम रात दिन सताओ मगर दिल लिए हुए

वो शब भी याद है कि मैं पहुँचा था बज़्म में
और तुम उठे थे रौनक़-ए-महफ़िल लिए हुए

अपनी ज़रूरियात हैं अपनी ज़रूरियात
आना पड़ा तुम्हें तलब-ए-दिल लिए हुए

बैठा जो दिल तो चाँद दिखा कर कहा 'क़मर'
वो सामने चराग़ है मंज़िल लिए हुए

  - Qamar Jalalvi

Irada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Irada Shayari Shayari