surkhiyaan kyun dhoondh kar laaun fasaane ke liye | सुर्ख़ियाँ क्यूँ ढूँढ कर लाऊँ फ़साने के लिए

  - Qamar Jalalvi

surkhiyaan kyun dhoondh kar laaun fasaane ke liye
bas tumhaara naam kaafi hai zamaane ke liye

maujen saahil se hataati hain habaabon ka hujoom
vo chale aaye hain saahil par nahaane ke liye

sochta hoon ab kahi bijli giri to kyun giri
tinke laaya tha kahaan se aashiyaane ke liye

chhod kar basti ye deewane kahaan se aa gaye
dasht ki baithi-bithaai khaak udaane ke liye

hans ke kahte ho zamaana bhar mujhi par jaan de
rah gaye ho kya tumheen saare zamaane ke liye

shaam ko aaoge tum achha abhi hoti hai shaam
gesuon ko khol do suraj chhupaane ke liye

kaayenaat-e-ishq ik dil ke siva kuchh bhi nahin
vo hi aane ke liye hai vo hi jaane ke liye

ai zamaane bhar ko khushiyaan dene waale ye bata
kya qamar hi rah gaya hai gham uthaane ke liye

सुर्ख़ियाँ क्यूँ ढूँढ कर लाऊँ फ़साने के लिए
बस तुम्हारा नाम काफ़ी है ज़माने के लिए

मौजें साहिल से हटाती हैं हबाबों का हुजूम
वो चले आए हैं साहिल पर नहाने के लिए

सोचता हूँ अब कहीं बिजली गिरी तो क्यूँ गिरी
तिनके लाया था कहाँ से आशियाने के लिए

छोड़ कर बस्ती ये दीवाने कहाँ से आ गए
दश्त की बैठी-बिठाई ख़ाक उड़ाने के लिए

हँस के कहते हो ज़माना भर मुझी पर जान दे
रह गए हो क्या तुम्हीं सारे ज़माने के लिए

शाम को आओगे तुम अच्छा अभी होती है शाम
गेसुओं को खोल दो सूरज छुपाने के लिए

काएनात-ए-इश्क़ इक दिल के सिवा कुछ भी नहीं
वो ही आने के लिए है वो ही जाने के लिए

ऐ ज़माने भर को ख़ुशियाँ देने वाले ये बता
क्या 'क़मर' ही रह गया है ग़म उठाने के लिए

  - Qamar Jalalvi

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari