is mein koi fareb to ai aasmaan nahin | इस में कोई फ़रेब तो ऐ आसमाँ नहीं

  - Qamar Jalalvi

is mein koi fareb to ai aasmaan nahin
bijli wahan giri hai jahaan aashiyaan nahin

sayyaad main aseer kahoon kis se haal-e-dil
sirf ek tu hai vo bhi mera ham-zabaan nahin

tum ne diya hamaari wafaon ka kya jawaab
ye ham wahan bataaenge tum ko yahan nahin

sajde jo but-kade mein kiye meri kya khata
tum ne kabhi kaha ye mera aastaan nahin

gum-karda raah ki kahi mitti na ho kharab
gard us taraf udri hai jidhar kaarwaan nahin

kyun sham-e-intizaar bujhaate ho ai qamar
naale hain ye kisi ke sehar ki azaan nahin

इस में कोई फ़रेब तो ऐ आसमाँ नहीं
बिजली वहाँ गिरी है जहाँ आशियाँ नहीं

सय्याद मैं असीर कहूँ किस से हाल-ए-दिल
सिर्फ़ एक तू है वो भी मिरा हम-ज़बाँ नहीं

तुम ने दिया हमारी वफ़ाओं का क्या जवाब
ये हम वहाँ बताएँगे तुम को यहाँ नहीं

सज्दे जो बुत-कदे में किए मेरी क्या ख़ता
तुम ने कभी कहा ये मिरा आस्ताँ नहीं

गुम-कर्दा राह की कहीं मिट्टी न हो ख़राब
गर्द उस तरफ़ उड़ी है जिधर कारवाँ नहीं

क्यूँ शम्-ए-इंतिज़ार बुझाते हो ऐ 'क़मर'
नाले हैं ये किसी के सहर की अज़ाँ नहीं

  - Qamar Jalalvi

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Jalalvi

As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Jalalvi

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari