tum apni yaad se kah do na jaaye chhod ke dil
ki dard-e-hijr na rakh de kahi marod ke dil
ab aap ke mere ghar tak qadam nahin aate
ye vo saza hai diya tha jo haath jod ke dil
khuda rakhe abhi kamsin ho qadr kya jaano
zara si der mein rakh doge tod-fod ke dil
liya tha jaise usi tarah fer bhi dete
ye kya ki fenk diya tum ne munh sikod ke dil
hamaare saath na dekhi bahaar taaron ki
qamar chale gaye vo chaandni mein tod ke dil
तुम अपनी याद से कह दो न जाए छोड़ के दिल
कि दर्द-ए-हिज्र न रख दे कहीं मरोड़ के दिल
अब आप के मिरे घर तक क़दम नहीं आते
ये वो सज़ा है दिया था जो हाथ जोड़ के दिल
ख़ुदा रखे अभी कमसिन हो क़द्र क्या जानो
ज़रा सी देर में रख दोगे तोड़-फोड़ के दिल
लिया था जैसे उसी तरह फेर भी देते
ये क्या कि फेंक दिया तुम ने मुँह सिकोड़ के दिल
हमारे साथ न देखी बहार तारों की
'क़मर' चले गए वो चाँदनी में तोड़ के दिल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Jalalvi
our suggestion based on Qamar Jalalvi
As you were reading Ghar Shayari Shayari