nafi ko karyaa-e-isbaat se nikaalta hoon | नफ़ी को कर्या-ए-इस्बात से निकालता हूँ

  - Qamar Raza Shahzad

nafi ko karyaa-e-isbaat se nikaalta hoon
main apni zaat tiri zaat se nikaalta hoon

kasheed karta hoon main din ki aag se thandak
aur apni dhoop kahi raat se nikaalta hoon

tu ek rukh pe hai mahv-e-kalaam lekin main
kai maani tiri baat se nikaalta hoon

dua ke haale bana kar tire jamaal ke gird
tujhe main gardish-o-aafaat se nikaalta hoon

mera kamaal main apni bulandiyaan shehzaad
haqeer-o-past maqaamaat se nikaalta hoon

नफ़ी को कर्या-ए-इस्बात से निकालता हूँ
मैं अपनी ज़ात तिरी ज़ात से निकालता हूँ

कशीद करता हूँ मैं दिन की आग से ठंडक
और अपनी धूप कहीं रात से निकालता हूँ

तू एक रुख़ पे है महव-ए-कलाम लेकिन मैं
कई मआ'नी तिरी बात से निकालता हूँ

दुआ के हाले बना कर तिरे जमाल के गिर्द
तुझे मैं गर्दिश-ओ-आफ़ात से निकालता हूँ

मिरा कमाल मैं अपनी बुलंदियाँ 'शहज़ाद'
हक़ीर-ओ-पस्त मक़ामात से निकालता हूँ

  - Qamar Raza Shahzad

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari