ye khet sabza shajar rahguzar sannaata | ये खेत सब्ज़ा शजर रहगुज़ार सन्नाटा

  - Qamar Siddiqi

ye khet sabza shajar rahguzar sannaata
ugaa hai door talak be-shumaar sannaata

hamaare khwaab koi aur dekh leta hai
hamaari aankh khala intizaar sannaata

vo kushta-e-rah-e-saut-o-sada hua shaayad
vo ek lafz tha jis ka hisaar sannaata

hai lafz lafz mein bujhte makaalmon ka dhuaan
sukoot-e-ishq hai ya be-qaraar sannaata

kabhi to chhed koi saaz koi naghma-e-jaan
kabhi to apne badan se utaar sannaata

ये खेत सब्ज़ा शजर रहगुज़ार सन्नाटा
उगा है दूर तलक बे-शुमार सन्नाटा

हमारे ख़्वाब कोई और देख लेता है
हमारी आँख ख़ला इंतिज़ार सन्नाटा

वो कुश्ता-ए-रह-ए-सौत-ओ-सदा हुआ शायद
वो एक लफ़्ज़ था जिस का हिसार सन्नाटा

है लफ़्ज़ लफ़्ज़ में बुझते मकालमों का धुआँ
सुकूत-ए-इश्क़ है या बे-क़रार सन्नाटा

कभी तो छेड़ कोई साज़ कोई नग़्मा-ए-जाँ
कभी तो अपने बदन से उतार सन्नाटा

  - Qamar Siddiqi

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari