haalaat ke kaale baadal ne
mere chat ke chaand ko gher liya
tadbeer ho mumkin khaak koi
ki baahar raksaan taarikee
aur andar phaili tanhaai
darwaaze par dastak de kar
aalaam ki vehshat hansati hai
aur sargoshi mein kahti hai
ki ab kaise bach paoge
meri tishna bebaki se
kis se baatein kar ke mujh ko
ab tum dhoke mein rakhhoge
हालात के काले बादल ने
मिरे छत के चाँद को घेर लिया
तदबीर हो मुमकिन ख़ाक कोई
कि बाहर रक़्साँ तारीकी
और अंदर फैली तन्हाई
दरवाज़े पर दस्तक दे कर
आलाम की वहशत हँसती है
और सरगोशी में कहती है
कि अब कैसे बच पाओगे
मेरी तिश्ना बेबाकी से
किस से बातें कर के मुझ को
अब तुम धोके में रक्खोगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafique Khayal
our suggestion based on Rafique Khayal
As you were reading Chaand Shayari Shayari