roz taaron ko numaish mein khalal padta hai | रोज़ तारों को नुमाइश में ख़लल पड़ता है

  - Rahat Indori

roz taaron ko numaish mein khalal padta hai
chaand paagal hai andhere mein nikal padta hai

ek deewaana musaafir hai meri aankhon mein
waqt-be-waqt thehar jaata hai chal padta hai

apni taabeer ke chakkar mein mera jaagta khwaab
roz suraj ki tarah ghar se nikal padta hai

roz patthar ki himayat mein ghazal likhte hain
roz sheeshon se koi kaam nikal padta hai

us ki yaad aayi hai saanso zara aahista chalo
dhadkano se bhi ibadat mein khalal padta hai

रोज़ तारों को नुमाइश में ख़लल पड़ता है
चाँद पागल है अँधेरे में निकल पड़ता है

एक दीवाना मुसाफ़िर है मिरी आँखों में
वक़्त-बे-वक़्त ठहर जाता है चल पड़ता है

अपनी ताबीर के चक्कर में मिरा जागता ख़्वाब
रोज़ सूरज की तरह घर से निकल पड़ता है

रोज़ पत्थर की हिमायत में ग़ज़ल लिखते हैं
रोज़ शीशों से कोई काम निकल पड़ता है

उस की याद आई है साँसो ज़रा आहिस्ता चलो
धड़कनों से भी इबादत में ख़लल पड़ता है

  - Rahat Indori

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rahat Indori

As you were reading Shayari by Rahat Indori

Similar Writers

our suggestion based on Rahat Indori

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari