ye sard raatein bhi ban kar abhi dhuaan ud jaayen | ये सर्द रातें भी बन कर अभी धुआँ उड़ जाएँ - Rahat Indori

ye sard raatein bhi ban kar abhi dhuaan ud jaayen
vo ik lihaaf main odhoon to sardiyaan ud jaayen

khuda ka shukr ki mera makaan salaamat hai
hain utni tez hawaaein ki bastiyaan ud jaayen

zameen se ek taalluq ne baandh rakha hai
badan mein khoon nahin ho to haddiyaan ud jaayen

bikhar bikhar si gai hai kitaab saanson ki
ye kaagazaat khuda jaane kab kahaan ud jaayen

rahe khayal ki majzub-e-ishq hain hum log
agar zameen se phoonken to aasmaan ud jaayen

hawaaein baaz kahaan aati hain sharaarat se
saroon pe haath na rakhen to pagadiyaan ud jaayen

bahut ghuroor hai dariya ko apne hone par
jo meri pyaas se uljhe to dhajjiyaan ud jaayen

ये सर्द रातें भी बन कर अभी धुआँ उड़ जाएँ
वो इक लिहाफ़ मैं ओढूँ तो सर्दियाँ उड़ जाएँ

ख़ुदा का शुक्र कि मेरा मकाँ सलामत है
हैं उतनी तेज़ हवाएँ कि बस्तियाँ उड़ जाएँ

ज़मीं से एक तअल्लुक़ ने बाँध रक्खा है
बदन में ख़ून नहीं हो तो हड्डियाँ उड़ जाएँ

बिखर बिखर सी गई है किताब साँसों की
ये काग़ज़ात ख़ुदा जाने कब कहाँ उड़ जाएँ

रहे ख़याल कि मज्ज़ूब-ए-इश्क़ हैं हम लोग
अगर ज़मीन से फूंकें तो आसमाँ उड़ जाएँ

हवाएँ बाज़ कहाँ आती हैं शरारत से
सरों पे हाथ न रक्खें तो पगड़ियाँ उड़ जाएँ

बहुत ग़ुरूर है दरिया को अपने होने पर
जो मेरी प्यास से उलझे तो धज्जियाँ उड़ जाएँ

- Rahat Indori
2 Likes

Education Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rahat Indori

As you were reading Shayari by Rahat Indori

Similar Writers

our suggestion based on Rahat Indori

Similar Moods

As you were reading Education Shayari Shayari